.jpg)
Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Best of Season 1 - Part 1
Best of Season 1 - Part 1
what a rewarding journey this has been, we have published 50 episodes so far, sharing my favorite poetry of the first 10 episodes. It covers the work of Manzar Bhopali, Iqbal Ashhar, Tahir Faraz, Azm Shakri, Dr. Nadeem Shad, Waseem Barelvi, Dr. Bashir Badr, Ahmad Faraz, Rajesh Reddy & Khumar Barabankvi.
I intend to record the Best of Season 1 - Part 2 soon.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
https://www.buymeacoffee.com/abdulsiddiqui
#urdughazal #urdupoetry #mainshayartohnahinpodcast #bestofseason1
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
Doston - Mujhe behad khushi ho rahi hai ke “Main Shayar toh Nahin podcast ke pachaas episode pore ho gaye hain”. Is safar mein, Mujhe bohot sikhnay ko mila, maine kai ghalatiyaan bhi ki, kai baar talffuz theek nahin raha, Main Urdu ka ek talib-e-ilm hun, Mujhe ummed hai, kotaiyoun ko nazar andaaz Kardiya hoga aapne.
Mujhe Khyaal aaya ke main “Best of Season 1” banoun aur chand episodes mein mukhtallif episodes se liyay gayay mere pasandida ashaar sunaoun.
Aap logon se bada pyaar mila. Badi khushi hoti thi jab bhi aap log baatate thay ke aap is Urdu Adab kay podcast ka lutf le rahay hain. Aapko yeah episode kaisa laga zaroor batayen.
You can reach me on instagram
@urdu.ghazal
email: raoof3@yahoo.com
aur Hamari website hai www.mstn.in ke zariye bhi rabta mayam kar saktay hain.
Is Safar ki shuraat September 20th 2020 ko hui - Pehla episode tha Manzar Bhopali par
Manzar Sahab BEHTAREEN SHA.IR HAIN
Saree duniya mein Aisa koi mulk nahin hoga, jahan urdu ki mahfileen sajti haiN AUR jahan Manzar Bhopali ko bade ehtaraam se bulaya nahin gaya hoga.
Mushairon ke mehboob, Manzar Sahab Takhriban Chalees (40) baras se, badi miyari shayari kar rahe hain aur ham sab ka dil JEET CHUKE hain.
Inko Urdu aur Hindi donoun ZABAANON pe badA UBOOR haasil hai.
Badi meethi si boli mein baat kartay hain.
Mohabbat kay shai,r hain, aur unkay tarannum ka kya kehna….
mushairay loot letay hain, apnay haseen tarannum say.
वोकहींतोमिले,वोकभीतोमिले
ख़्वाबमेंहीसही, ज़िंदगीतोमिले
दिलमेंआनेकीहसरत, बहुतदिनसेहै
कुछइजाज़तमगर. आपकीभीतोमिले
ज़िंदगीकाटदेंगे, गलीमेंतेरी
जानेमन, हमकोतेरीगलीतोमिले
आदमियतको, आँखेंतरसनेलगी
इसजहांमेंकहीं, आदमीतोमिले
हमभीकहदेंगे, घरमेंबहारआईहै
कोईडालीचमनमें, हरीतोमिले
आओमिलकरजलाएं, दिएप्यारके
इनअंधेरोंमें, कुछरोशनीतोमिले
मुझकोरावणहीरावण, मिलेफकत
ज़िंदगीमेंकोई, रामभीतोमिले
zulf o ruḳh ke saa.e meñ, zindagī guzārī hai
dhuup bhī hamārī hai, chhāñv bhī hamārī hai
ġham-gusār chehroñ par, e'tibār mat karnā
shahr meñ siyāsat ke dost bhī, shikārī hai
moḌ lene vaalī hai, zindagī koī shāyad
ab ke phir havāoñ meñ, ek be-qarārī hai
haal ḳhuuñ meñ Duubā, hai kal na jaane kyā hogā
ab ye ḳhauf-e-mustaqbil, zehn zehn taarī hai
mere hī buzurgoñ ne, sar-bulandiyāñ baḳhshīñ
mere hī qible par. mashq-e-sañg-bārī hai
ik ajiib ThanDak hai, is ke narm lahje meñ
lafz lafz shabnam hai, baat baat pyārī hai
kuchh to pā.eñge, us kī qurbatoñ kā ḳhamyāza
dil to ho chuke TukḌe, ab saroñ kī baarī hai
baap bojh Dhotā thā, kyā jahez de paatā
is liye vo shahzādī, aaj tak kuñvārī hai
kah do 'mīr' o 'ġhālib' se, ham bhī sher kahte haiñ
vo sadī tumhārī thī, ye sadī hamārī hai
karbalā nahīñ lekin, jhuuT aur sadāqat meñ
kal bhī jañg jaarī thī, ab bhī jañg jaarī hai
gaañv meñ mohabbat kī, rasm hai abhī 'manzar'
shahr meñ hamāre to, jo bhī hai madārī hai
Iqbal Ashhar - Episode 2
Hindustaan ke ba-kamaal shaiar Iqbal Ashhar sahab ka kalaam suna aap ne. Baday Suljhayhua aur Sanjida Shair hain, Badi umda shayari Kartay hain.
Hamari Dar-ul-hukumat Dehli se hain. Jo Ghazal ki Riwayatein Mir aur Ghalib se chalee aa raahin hain, unhe bakhoobi nibha rahe hain…
Mushairoun ke Raunaq Hain Iqbal Ashhar Sahab.
Jab Iqbal Ashhar chotay thay, unki valda unhe Shakeel Badayuni ka kalaam padkar sunaya karti thi. Jab Bachpan se aisi aala shaa.iri ghutti mein mila kar pila di gayi ho,
Toh kyun na vo apna rang dikhlayegi.
Ek ghazal suniye…
Thahrī Thahrī sī tabī.at meñ, ravānī aa.ī
aaj phir yaad, mohabbat kī kahānī aa.ī
aaj phir niiñd ko, āñkhoñ se bichhaḌte dekhā
aaj phir yaad koī, choT purānī aa.ī
muddatoñ ba.ad, chalā un pe hamārā jaadū
muddatoñ ba.ad, hameñ baat banānī aa.ī
muddatoñ ba.ad, pashemāñ huā dariyā ham se
muddatoñ ba.ad, hameñ pyaas chhupānī aa.ī
muddatoñ ba.ad, khulī vus.at-e-sahrā ham par
muddatoñ ba.ad, hameñ ḳhaak uḌānī aa.ī
muddatoñ ba.ad, mayassar huā maañ kā āñchal
muddatoñ ba.ad, hameñ niiñd suhānī aa.ī
itnī āsānī se, miltī nahīñ fan kī daulat
Dhal ga.ī umr, to ġhazloñ pe javānī aa.ī
================
Hum ko hamare sabr ka, khoob sila diya gaya
Yani dawa na dii gayi, dard badha diya gaya
Unki Murad hai yahi, khatm na ho ye teergi
Jisne zara badai Lau, usko bujha diya gaya
Phir ye kahaa gaya ke aap, shauq se Saans Li jiye
Pehle havaye shahar mein, zehr mila diya gaya
Ahl-e-sitam ko raat phir daawat-e-Raqs dii gayi
Aur baraye raushni Shehar jaala diya gaya
Munkir-e-karbala hue, dard mein mubtala hue
Hum ko bhi ek Yazeed ka, Daur dikha diya gaya
===============================
Episode 3 ke nausha thay Tahir Faraz
Dabistaan-e-Rampur se talluq rakhte hain, jo ek iskool ki haisiyat se bhi ubhra. Apnay khoobsurat tarannum aur meyari shaa.iri se Tahir Faraz ne kai mushairay luut liye.Kul Hind aur aalami mushaairon ke mehboob shaai.r hain.
ġham is kā kuchh nahīñ hai, ki maiñ kaam aa gayā
ġham ye hai qātiloñ meñ, tirā naam aa gayā
jugnū jale bujhe, mirī palkoñ pe sub.h tak
jab bhī tirā ḳhayāl, sar-e-shām aa gayā
mahsūs kar rahā huuñ, maiñ ḳhushbū kī bāzgasht
shāyad tire laboñ pe, mirā naam aa gayā
kuchh dostoñ ne pūchhā, batāo ġhazal hai kyā
be-sāḳhta laboñ pe, tirā naam aa gayā
maiñ ne to ek laash kī, dī thī ḳhabar 'farāz'
ulTā mujhī pe qatl kā, ilzām aa gayā
Agli jo nahm sungen jaa raha huun usta unvan hai “Maai” Tahir Faraz Kehte hain ke Vo is Nazm ko Ibaadat ki Tarah padte hain
Amber Ki Yeh Unchai, Dharti ki Ye Gahrai, Saagar ki Yeh Gehrai
Teray Man mein hai Samaayi, Maai O Maae
Tera mann Amrit Ka Pyala, Yehi Kaaba, Yehi Shivala
Teri Mumta Jeevan Daae, Maai O Maae
Jee Chahe, Teray Saath Rahun, Main Ban Ke Tera Humjoli
Tere Haath na Aoon, Chup Jaon, Yun Khelon Ankh Micholi
Parion Ki Kahani Sunake,
Koi Meethi Lori Gaa Ke, Karday Sapne Sukhdae,
Maae O Maae
Sansar ke Taane Baane se, Ghabrata hai mann mera
In Juthay Rishtay Naton mein, Bas Pyaar hai saccha tera
Sab Dukh Sukh mein Dhal jaaye, Teri Baahe.n Jo Mil Jaye
Mil Jaye Mujhe Khudaa.e, Maae O Maae
Jaday Ki Thanndi Raaton Mein, Jab Der Se Mein Ghar Aaon (2)
Halki Si Dastak Per Apni, Tujhe Jaagta hua mein Paao.n
Sardi Se Thithur ti Jaae, Thanda Bistar apnae
Mujhe Dekay Garam Razai
Tera mann Amrit Ka Pyala, Yehi Kaaba, Yehi Shivala
Teri Mumta Jeevan Daae, Maae, O Maae
Phir Koi Shararat Ho Mujhse, Naraaz karon Phir Tujhko
Phir Gaal PeThappi Maar ke, tu Seenay se laga le Mujko
Bachppan Ki Pyaas Bhuja De,
Apany haathon se Khila de, Pallu Mein Bandhi Mithai
Maae, O Maae
=================
Azm Shakri Episode 4
Classiqi Ghazal ke rasiya. Jinhone kabhi ghazal ka daaman nahi choda. Unka ek ålåg hi andaaz hai. Azm Shakri Kahte hain, sab logon ke ghum ek jaisse hote hain.
Azm Shakri ki ghazlen suntay hue, samaeen bahut mutassir hotay hain, aur apni apni kahani mein kho jaate hain. Alami or Kul-hind mushairon mein unhe baday pyar se, suna jaata hai.
Lakhon Sadme, Dheron Ghum
Phir Bhi Nahin Hai, Ankhen Num
Ek Muddat Se, Roye Nahin
Kya Pathar Ke, ho Gaye Hum
Yun Palkon Per, Hai Aansoo
Jaise Phulon Per, hai Shabnam
Hum Us, Jungal Mein Hain
Jahan Dhoop Zyaada, Saaye Kum
Ab Zakhmo’n Mein, Taab Nahin
Ab Kyon Laaye Ho Marhum
Lakhon Sadme Dheron Ghum
=====
tīrgī meñ, sub.h kī tanvīr, ban jā.eñge ham
ḳhvāb tum dekhoge, aur ta.abīr ban jā.eñge ham
ab ke ye sochā hai, gar āzād tum ne kar diyā
ḳhud hī apne paañv kī, zanjīr ban jā.eñge ham
āñsuoñ se likh rahe haiñ, bebasī kī dāstāñ
lag rahā hai dard kī, tasvīr ban jā.eñge ham
likh na paa.e, jo kisī kī nīm-bāz ā.ankhoñ kā raaz
vo ye va.ada kar rahe haiñ, 'mīr' ban jā.eñge ham
gar yuuñ hī baḌhtā rahā, din raat shuġhl-e-mai-kashī
ek din is mai-kade ke, piir ban jā.eñge ham
us ne bhī auroñ ke jaisā, hī kiyā ham se sulūk
jo ye kahtā thā, tirī taqdīr ban jā.eñge ha
===============
Episode 5 Nadeem Shad
Mere Pasandeeda sha.ir Dr. Nadeem Shad, Deoband se taluq rehte hain. Buniyadi taur par classiqi ghazal ke shah.r hain, bada khoobsurat tarannum hai unka.
Pardes mein kya mehsoos karein, barish ka maza, mitti ki mahek
Jab gaanv mein apnay hoti hai, barsaat se khushboo aati hai
Mujhe pardes mein rehkar, barabar yaad aata hai
Woh toota sahi lekin, bahut ghar yaad aata hai
Gila to yeh hai, hamaare hi intekhab se hain
Hamare shahar ko, makhtal banane wale log
Naseeb Dekheye, Kachhi Zameen Pe Sootay Hain
Hamare Wastay, Makhmal Bananay Waale Log.
Ab Ye Bhi Nahin Kehtay, Ke Marnay ke Nahin Hum
Mar Jayenge par aap se, Darnay ke Nahin Hum
Ye Jism Kahe jaata, hai bas aur faqat bas
Aur Zakhm kahtay hain, ke Bharnay ke Nahin Hum
Tumse Bichde To Socha tha bas, ek Jaan Se Alag Ho Gaye
Aba Laga ek jaan se nahin, Do jahan se Alag ho Gaye
Ai Watan Rah Ke Pardes Mein, aise ghut ghut ke, rowtay thay hum
Jaise Bacchay kisi bheed mein, Apni maa se alag ho gaye
Dastaan likhnay waale ne toh, Sab Hamare hi khoon se likha
Aur Sitam Dekhiye phir hum hii, dastaan se alag hogaye
Kya kaha aap ko chod kar, hum jiyenge aji chodiye
Kya Suna hai sitare kabhi, asmaan se alag ho gaye
Tum Khuda to nahin ho Nadeem, Ek Din tum bhi mar jaoge
Phir takabbur bhala kis liye, Tum Kahan se alag ho gaye
=========
Waseem Barelvi - Episode 6
Zahid Hassan Waseem jo Waseem Baerlvi ke naam se jaanay jaate hain. Kai kitabon ke musannif hain. Unki ghazlon ko kai bade singers, jaise Jagjit Singh ne gaaya. Unhe bade adab se suna janta hai. Unakay kai sher viral ho chuke hain.
Kai ejazaat se nawaza jaa chuka hai.
usūloñ par jahāñ aañch aa.e, Takrānā zarūrī hai
jo zinda ho to, phir zinda nazar aanā zarūrī hai
ham is liye, na.ī duniyā ke saath chal na sake
ki jaise rañg ye badlī hai, ham badal na sake
hādsoñ kī zad pe haiñ, to muskurānā chhoḌ deñ
zalzaloñ ke ḳhauf se, kyā ghar banānā chhoḌ deñ
===================
aate aate, mirā naam sā rah gayā
us ke hoñToñ pe kuchh, kāñptā rah gayā
raat mujrim thī, dāman bachā le ga.ī
din gavāhoñ kī saf meñ, khaḌā rah gayā
vo mire sāmne hī gayā, aur maiñ
rāste kī tarah, dekhtā rah gayā
jhuuT vaale, kahīñ se kahīñ baḌh ga.e
aur maiñ thā ki, sach boltā rah gayā
āñdhiyoñ ke irāde, to achchhe na the
ye diyā kaise, jaltā huā rah gayā
us ko kāñdhoñ pe, le jā rahe haiñ 'vasīm'
aur vo jiine kā haq, māñgtā rah gaya
===============
kyā dukh hai samundar ko, batā bhī nahīñ saktā
aañsū kī tarah aañkh tak, aa bhī nahīñ saktā
tū chhoḌ rahā hai, to ḳhatā is meñ tirī kyā
har shaḳhs mirā saath, nibhā bhī nahīñ saktā
maiñ is umiid pe Duubā, ki tū bachā legā
ab is ke ba.ad, mirā imtihān kyā legā
ye ek mela hai, va.ada kisī se kyā legā
Dhalegā din, to har ik apnā rāsta legā
maiñ bujh gayā, to hamesha ko bujh hī jā.ūñgā
koī charāġh nahīñ huuñ, ki phir jalā legā
kaleja chāhiye, dushman se dushmanī ke liye
jo be-amal hai, vo badla kisī se, kyā legā
maiñ us kā ho nahīñ saktā, batā na denā use
lakīreñ haath kī, apnī vo sab jalā legā
hazār toḌ ke aa jā.ūñ, us se rishta 'vasīm'
maiñ jāntā huuñ, vo jab chāhegā bulā legā
Bashir Badr - Episode 7
Bashir Badr Sahab ka Tarruf karana zaruri nahin hai. Vo Urdu adab ke living legend hain. Bashir Badr sahab ko Sahitya Akademi Award aur Padamshree se nawaaza ja chuka hai.
He is well versed not just in Urdu but also in Persian, Hindi and English. Unki Kayi Kitaben Shaya ho chuki hain, Aisa kaha jaata hai ki unho nein 7 baras ki kachi umr Se, Sher kahne shuru kiye thay.
Sher Shayari ya mushairon ki dinuiya mein hi nahin, unhonay urdu adab mein bhi apna khaas mukhaam banaya hai.
Unki Khasiyat ya badappan tha ki bol chaal ki bhasha - spoken language mein sher kehtay thay…
Chaliye Hindustaan ke Maqbool Shayar Dr. Bashir Badr ka kalaam suniye.
ḳhudā ham ko aisī, ḳhudā.ī na de
ki apne sivā, kuchh dikhā.ī na de
log TuuT jaate haiñ, ek ghar banāne meñ
tum taras nahīñ khāte, bastiyāñ jalāne meñ
mujh se bichhaḌ ke, ḳhush rahte ho
merī tarah, tum bhī jhūTe ho
=============
yūñhī be-sabab na phirā karo, koī shaam ghar meñ rahā karo
vo ġhazal kī sachchī kitāb hai, use chupke chupke paḌhā karo
koī haath bhī na milā.egā, jo gale miloge tapāk se
ye na.e mizāj kā shahr hai, zarā fāsle se milā karo
abhī raah meñ, ka.ī moḌ haiñ, koī aa.egā, koī jā.egā
tumheñ jis ne dil se bhulā diyā, use bhūlne kī duā karo
mujhe ishtihār sī lagtī haiñ, ye mohabbatoñ kī kahāniyāñ
jo kahā nahīñ, vo sunā karo, jo sunā nahīñ, vo kahā karo
================
kabhī husn-e-parda-nashīñ bhī ho, zarā āshiqāna libās meñ
jo maiñ ban sañvar ke kahīñ chalūñ, mire saath tum bhī chalā karo
nahīñ be-hijāb vo chāñd sā, ki nazar kā koī asar na ho
use itnī garmī-e-shauq se, baḌī der tak na takā karo
ye ḳhizāñ kī zard sī shaal meñ, jo udaas peḌ ke paas hai
ye tumhāre ghar kī bahār hai, use āñsuoñ se harā karo
================
kabhī yuuñ bhī, aa mirī aañkh meñ, ki mirī nazar ko, ḳhabar na ho
mujhe ek raat navāz de, magar is ke ba.ad sahar na ho
vo baḌā rahīm o karīm hai, mujhe ye sifat bhī atā kare
tujhe bhūlne kī duā karūñ, to mirī duā meñ asar na ho
====
ġhazloñ kā hunar, apnī āñkhoñ ko sikhā.eñge
ro.eñge bahut lekin, aañsū nahīñ ā.eñge
kah denā samundar se, ham os ke motī haiñ
dariyā kī tarah tujh se, milne nahīñ ā.eñge
vo dhuup ke chhappar hoñ, yā chhāñv kī dīvāreñ
ab jo bhī uThā.eñge, mil jul ke uThā.eñge
jab saath na de koī, āvāz hameñ denā
ham phuul sahī lekin, patthar bhī uThā.eñge
Ahmad Faraz - episode 8
Ahamad Faraz sahab ne bahut maqbooliyat hasil ki hai.
Apnay duar ke behtareen shaairon me se ek Rahe.
Unho ne ghazal ko naye andaaz diye hain.
Faraz sahab un shaiaron mein se hain, jinhe kisi ek khittay mein mahdood kar ke nahin rakha jaa sakta.
He doesn’t belong only to Pakistan. He has a universal appeal. Duniya mein, jahan jahan Urdu boli aur samjhi jaati hai, wahan ke sab log unhe bahut pyaar aur ehteraam se Sunten hain.
Unkay Kalaam mein Rumaniyat, Aam insaan ka Dard aur ehtejaaj chalakta hai.
Unke visaal ke baad bhi, Unki shaairi zinda hai, aur inshallah taa qayamat zinda rahegi.
muntazir kab se, tahayyur hai, tirī taqrīr kā
baat kar, tujh par gumāñ hone lagā, tasvīr kā
karūñ na yaad, magar kis tarah, bhulā.ūñ usay
Ghazal bahāna karūñ, aur gungunā.ūñ use
———
Wohi ishq, jo tha kabhi junoon, ussay roz-gaar bana diya
Kahin zakhm bech k aa gaye, kahin sher koi suna diya.
Kabhi qissa Tere Visaal Ka, Jo kisi se kahna na chahiye
Kabhi Daagh Tere Firaaq Ka, Sare-Anjuman Hi dikha Diya
—————
shiddat-e-tishnagī meñ bhī, ġhairat-e-mai-kashī rahī
us ne jo pher lī nazar, maiñ ne bhī jaam, rakh diyā
us ne nazar nazar meiñ hī, aise bhale suḳhan kahe
maiñ ne to us ke paañv meiñ, saarā kalām rakh diyā
dekho ye mere ḳhvāb thay, dekho ye mere zaḳhm haiñ
maiñ ne to sab hisāb-e-jāñ bar-sar-e-ām rakh diyā
aur 'farāz' chāhiyeñ kitnī mohabbateñ tujhe
maaoñ ne tere naam par bachchoñ kā naam rakh diyā
Agli ghazal ched raha huun
ranjish hī sahī, dil hī dukhāne ke liye aa
aa phir se mujhe, chhoḌ ke jaane ke liye aa
kuchh to, mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh
tū bhī to kabhī, mujh ko manāne ke liye aa
pahle se marāsim na sahī, phir bhī kabhī toh
rasm-o-rah-e-duniyā hī, nibhāne ke liye aa
kis kis ko batā.eñge, judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai toh, zamāne ke liye aa
ik umr se huuñ, lazzat-e-girya se bhī mahrūm
ai rāhat-e-jāñ, mujh ko rulāne ke liye aa
ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko, tujh se haiñ ummīdeñ
ye āḳhirī sham.eñ bhī, bujhāne ke liye aa =======
silsile toḌ gayā, vo sabhī jaate jaate
varna itne to marāsim the, ki aate jaate
shikva-e-zulmat-e-shab se, to kahīñ behtar thā
apne hisse kī koī sham.a, jalāte jaate
kitnā āsāñ thā, tire hijr meiñ marnā jānāñ
phir bhī ik umr lagī, jaan se jaate jaate
jashn-e-maqtal hī na barpā huā, varna ham bhī
pā-ba-jaulāñ hī sahī, nāchte gaate jaate
Us kī vo jaane, usay pās-e-vafā thā ki na thā
tum 'farāz' apnī taraf se, to nibhāte jaate
————————————
dukh fasāna nahīñ, ki tujh se kaheñ
dil bhī maanā nahīñ, ki tujh se kaheñ
aaj tak apnī, bekalī kā sabab
ḳhud bhī jaanā nahīñ, ki tujh se kaheñ
ek tū, harf-e-āshnā thā magar
ab zamāna nahīñ, ki tujh se kaheñ
ai ḳhudā, dard-e-dil hai, baḳhshish-e-dost
āb-o-dāna nahīñ, ki tujh se kaheñ
ab to apnā bhī, us galī meñ 'farāz'
aanā jaanā nahīñ, ki tujh se kaheñ
=========
Rajesh Reddy - Episode 9
Rajesh Reddy is a contemporary Urdu Poet. His ghazals have been sung by Jagjit Singh and Pankaj Udhaas.
He uses a simple a language that connects very easily with his listeners.
I am a big fan of his poetry and I am hoping you will like his work too.
mire dil ke kisī kone meñ, ik ma.asūm sā bachcha
baḌoñ kī dekh kar duniyā, baḌā hone se Dartā hai
ye jo zindagī kī kitāb hai, ye kitāb bhī kyā kitāb hai
kahīñ ik hasīn sā ḳhvāb hai, kahīñ jān-levā azaab hai
likh likh ke āñsuoñ se, dīvān kar liyā hai
apne suḳhan ko apnī, pahchān kar liyā hai ======
ye kab chāhā, ki maiñ mash.hūr ho jā.ūñ
bas apne aap ko, manzūr ho jā.ūñ
shaam ko jis vaqt ḳhālī haath, ghar jaatā huuñ maiñ
muskurā dete haiñ bachche, aur mar jaatā huuñ maiñ
jaane kitnī, uḌaan baaqī hai
is parinde meñ, jaan baaqī hai
sar qalam hoñge, kal yahāñ un ke
jin ke muñh meñ, zabān baaqī hai
=============
Ek bahut hi pyaari ghazal ched rahaa huun
ab kyā batā.eñ, TuuTe haiñ, kitne kahāñ se ham
ḳhud ko sameTte haiñ, yahāñ se, vahāñ se ham
kyā jaane, kis jahāñ meñ, milegā hameñ sukūn
nārāz haiñ zamīñ se, ḳhafā āsmāñ se ham
ab to sarāb hī se, bujhāne lage haiñ pyaas
lene lage haiñ kaam, yaqīñ kā gumāñ se ham
lekin hamārī āñkhoñ ne, kuchh aur kah diyā
kuchh aur kahte rah ga.e, apnī zabāñ se ham
ā.īne se ulajhtā hai, jab bhī, hamārā aks
haT jaate haiñ, bachā ke nazar, darmiyāñ se ham
milte nahīñ haiñ, apnī kahānī meñ, ham kahīñ
ġhā.eb hue haiñ jab se, tirī dāstāñ se ham
ġham bik rahe the mele meñ, ḳhushiyoñ ke naam par
māyūs ho ke lauTe haiñ, har ik dukāñ se ham
=======
Khumar Barabankvi - Ep 10
Apne Duar ke bahut bade shaairon mein se ek rahe. Khumar Sahab ke purane videos dekh kar aisa lagta hai ke Ghazal Ka Shayar kabhi bouddha nahin ho sakta.
Khumar Sahab Classiki Ghazal ki abroo hain. Jin dino Tarakkhi pasand tahreek apne urooj pe thi, tab bhi Khumar Sahab ne Ghazal ka Daaman nahin choda.
Apne khoobsurat tarannum se mushairay Loot Liya Karte thay. Bade Deegar shohra, Jaise ke Ahmad Faraz, Peerzada Qasim, Jaun Eliya aur Majrooh Sultanpuri - Khumaar Sahab ko bade izzat aur ehteraam se sunte thay. Main Bade Adab se unkay kuch ashaar pesh karta huun, tawajjo chaahunga
dushmanoñ se pyaar, hotā jā.egā
dostoñ ko, āzmāte jā.iye
dūsroñ par agar, tabsira kījiye
sāmne aa.ina, rakh liyā kījiye
had se baḌhe jo ilm, to hai jahl dosto
sab kuchh jo jānte haiñ, vo kuchh, jānte nahīñ
yaad karne pe bhī, dost aa.e na yaad
dostoñ ke karam, yaad aate rahe
raat baaqī thī, jab vo bichhḌe the
kaT ga.ī umr, raat baaqī hai
=======================
vahī phir mujhe, yaad aane lage haiñ
jinheñ bhūlne meñ, zamāne lage haiñ
vo haiñ paas, aur yaad, aane lage haiñ
mohabbat ke hosh, ab Thikāne lage haiñ
sunā hai hameñ vo, bhulāne lage haiñ
to kyā ham unheñ, yaad aane lage haiñ
haTā.e the jo, raah se dostoñ kī
vo patthar mire ghar meñ, aane lage haiñ
ye kahnā thā un se, mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko, zamāne lage haiñ
qayāmat yaqīnan, qarīb aa ga.ī hai
'ḳhumār' ab to masjid meñ, jaane lage hai
===============
ik pal meñ, ik sadī kā mazā, ham se pūchhiye
do din kī zindagī kā mazā, ham se pūchhiye
bhūle haiñ rafta rafta unheñ, muddatoñ meñ ham
qistoñ meñ ḳhud-kushī kā mazā, ham se pūchhiye
āġhāz-e-āshiqī, kā mazā aap jāniye
anjām-e-āshiqī, kā mazā ham se pūchhiye
jalte diyoñ meñ, jalte gharoñ jaisī, zau kahāñ
sarkār raushnī kā mazā, ham se pūchhiye
vo jaan hī ga.e, ki hameñ un se pyaar hai
āñkhoñ kī muḳhbirī kā mazā, ham se pūchhiye
hañsne kā shauq, ham ko bhī thā, aap kī tarah
hañsiye magar, hañsī kā mazā, ham se pūchhiye
ham tauba kar ke mar ga.e, be-maut ai 'ḳhumār'
tauhīn-e-mai-kashī kā mazā, ham se pūchhiye
Doston, main Hindostan mein huun is waqt, shaayad aagla episode time par na release kar sakun,
chand hafton ke baad, Best of season 1 - episode 2 lekar aapki khidmat mein phir aaonga. Tab tak ke liye, ijaazat di jiye. Apna bahut khayaal rakhen, shaad rahen, abaad rahen