.jpg)
Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Jigar Moradabadi - Ghazal Ke Badshah
Ali Sikandar was popularly known as Jigar Moradabadi. He was one of the most admired Urdu poets of his time. He was from a family of poets, his father and paternal grand father were also poets. He was born in Moradabad, Uttar Pradesh in 1890 AD in erstwhile British India and passed away in 1960 AD in independent India. He was regarded as the King of Urdu Ghazal. His poetry is still alive and kicking even after 60 years of his death.
Its very hard to pick the best of his best work but I have shared my favorite ghazals in this episode, there are still many I couldn’t share due to time constraints. I hope you will enjoy the work of Jigar Moradabadi.
If you like our podcast please share it with your friends. Leave a review. Feedback is always welcome and much appreciated.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
https://www.buymeacoffee.com/abdulsiddiqui
#urdupodcast #urdughazal #Jigarmoradabadi #urdupoetry
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Hum ne seenay se lagaya dil na apna ban saka
Muskura kar tumne dekha dil tumhara ho gaya
Apna zamana aap banate hain ahle-dil
Hum Vo Nahin ke jinko zamana bana gaya
Ibteda vo thi ke jeena tha mohabbat mein mohaal
Inteha yeh hai ke ab marna bhi mushkil ho gaya
Ye Ishq Nahin Asaan itna hi samjh li jiye
Ik Aag ka darya hai aur doob ke jaana hai
aadmii aadmii se miltaa hai
dil magar kam kisii se miltaa hai
Ishq Jab Tak Na kar chuke Ruswa
Admi Kaam ka nahin Hota
Yuun Zindagi guzaar raha huun tere baghair
Jaise koi gunaah kiye jaa raha huun main
Agla sher batata hai ke people who deal with difficult circumstances, change the world.
Jo Tufaanon mein palte jaa rahe hain
Vahi Duniya badalte jaa rahe hain
Humne aisa na koi dekhne vala dekhaa
jo yeh keh de ke Usne tera husn-e-saraapa dekhaa
Teri Ankhon ka kuch kasoor nahin
Haan mujh ko kharaab hona tha
Dono Haathon se loothe hai hamen
Kitni Zalim hai teri angdai
Meri zindagi to guzrii tere hijr ke Sahare
Meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana
Hamin jab na Hongay to kya rang-e-mehfil
Kise dekh kar aap sharmaye gaa
mohabbat me.n ik aisaa vaqt bhii dil par guzartaa hai
ki aa.nsuu KHushk ho jaate hai.n tuGyaanii nahii.n jaatii
sadāqat ho to dil sīnoñ se khiñchne lagte haiñ vaa.iz
haqīqat ḳhud ko manvā letī hai maanī nahīñ jaatī
Dil Ko Sukooon Rooh ko araam aa gaya
Maut aa gayi ke dost ka paighaam aa gaya
le ke KHat un kaa kiyaa zabt bahut kuchh lekin
thartharaate hu.e haatho.n ne bharam khol diyaa
========================
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaad
ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaad
shāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
chheḌā thā jise pahle-pahal terī nazar ne
ab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzish
us vaqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad
kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ ko
marne kī adā yaad na jiine kī adā yaad
muddat huī ik hādsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad
haañ haañ tujhe kyā kaam mirī shiddat-e-ġham se
haañ haañ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad
maiñ tark-e-rah-o-rasm-e-junūñ kar hī chukā thā
kyuuñ aa ga.ī aise meñ tirī laġhzish-e-pā yaad
kyā lutf ki maiñ apnā pata aap batā.ūñ
kiije koī bhūlī huī ḳhaas apnī adā yaad
===
Koi Jeeta Koi Marta hi Raha
Ishq apna kaam karta hi raha
Vo Mitate hi Rahe magar ye Dil
Naqsh ban ban kar ubharta hi rahaa
Dhadkanay dil ki sabhi kuch kah gayi
Dil ko main khamoosh karta hi rahaa
Tumne nazren pheer li toh kya hua
Dil mein ik Nashtar utar ta hi rahaa
Hijaab e ishq ko ai dil bahut ghanimat jaan
Rahega Kyaa jo ye parda bhi darmiyaan na rahaa
gudaaz-e-ishq nahii.n kam jo mai.n javaa.n na rahaa
vahii hai aag magar aag me.n dhu.aa.n na rahaa
==============================================
allāh agar taufīq na de insān ke bas kā kaam nahīñ
faizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ
ye tū ne kahā kyā ai nādāñ fayyāzī-e-qudrat aam nahīñ
tū fikr o nazar to paidā kar, kyā chiiz hai jo in.aam nahīñ
yā-rab ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñ
taskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ
aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aa
ai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ
zāhid ne kuchh is andāz se pī, saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñ
mai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ
ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnī
dil kī bhī kuchh un ke sāzish hai tanhā ye nazar kā kaam nahīñ
sab jis ko asīrī kahte haiñ vo to hai amīrī hī lekin
vo kaun sī āzādī hai yahāñ jo aap ḳhud apnā daam nahīñ
===============================================
shā.er-e-fitrat huuñ jab bhī fikr farmātā huuñ maiñ
ruuh ban kar zarre zarre meñ samā jaatā huuñ maiñ
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrātā huuñ maiñ
jaise har shai meñ kisī shai kī kamī paatā huuñ maiñ
jis qadar afsāna-e-hastī ko dohrātā huuñ maiñ
aur bhī be-gāna-e-hastī huā jaatā huuñ maiñ
jab makān-o-lā-makāñ sab se guzar jaatā huuñ maiñ
allāh allāh tujh ko ḳhud apnī jagah paatā huuñ maiñ
terī sūrat kā jo ā.īna use paatā huuñ maiñ
apne dil par aap kyā kyā naaz farmātā huuñ maiñ
yak-ba-yak ghabrā ke jitnī duur haT aatā huuñ maiñ
aur bhī us shoḳh ko nazdīk-tar paatā huuñ maiñ
hā.e-rī majbūriyāñ tark-e-mohabbat ke liye
mujh ko samjhāte haiñ vo aur un ko samjhātā huuñ maiñ
merī himmat dekhnā merī tabī.at dekhnā
jo sulajh jaatī hai gutthī phir se uljhātā huuñ maiñ
husn ko kyā dushmanī hai ishq ko kyā bair hai
apne hī qadmoñ kī ḳhud hī Thokareñ khātā huuñ maiñ
terī mahfil tere jalve phir taqāzā kyā zarūr
le uThā jaatā huuñ zālim le chalā jaatā huuñ maiñ
vāh-re shauq-e-shahādat kū-e-qātil kī taraf
gungunātā raqs kartā jhūmtā jaatā huuñ maiñ
ek dil hai aur tūfān-e-havādis ai 'jigar'
ek shīsha hai ki har patthar se Takrātā huuñ maiñ
========================
nazar milā ke mire paas aa ke luuT liyā
nazar haTī thī ki phir muskurā ke luuT liyā
shikast-e-husn kā jalva dikhā ke luuT liyā
nigāh nīchī kiye sar jhukā ke luuT liyā
duhā.ī hai mire allāh kī duhā.ī hai
kisī ne mujh se bhī mujh ko chhupā ke luuT liyā
salām us pe ki jis ne uThā ke parda-e-dil
mujhī meñ rah ke mujhī meñ samā ke luuT liyā
unhīñ ke dil se koī us kī azmateñ pūchhe
vo ek dil jise sab kuchh luTā ke luuT liyā
yahāñ to ḳhud tirī hastī hai ishq ko darkār
vo aur hoñge jinheñ muskurā ke luuT liyā
ḳhushā vo jaan jise dī ga.ī amānat-e-ishq
rahe vo dil jise apnā banā ke luuT liyā
nigāh Daal dī jis par hasīn āñkhoñ ne
use bhī husn-e-mujassam banā ke luuT liyā
baḌe vo aa.e dil o jaañ ke lūTne vaale
nazar se chheḌ diyā gudgudā ke luuT liyā
rahā ḳharāb-e-mohabbat hī vo jise tū ne
ḳhud apnā dard-e-mohabbat dikhā ke luuT liyā
koī ye luuT to dekhe ki us ne jab chāhā
tamām hastī-e-dil ko jagā ke luuT liyā
karishmā-sāzi-e-husn-e-azal are tauba
mirā hī ā.īna mujh ko dikhā ke luuT liyā
na luTte ham, magar un mast añkhḌiyoñ ne 'jigar'
nazar bachāte hue DabDabā ke luuT liyā
==========
āñkhoñ meñ bas ke dil meñ samā kar chale ga.e
ḳhvābīda zindagī thī jagā kar chale ga.e
husn-e-azal kī shaan dikhā kar chale ga.e
ik vāqi.a sā yaad dilā kar chale ga.e
chehre tak āstīn vo lā kar chale ga.e
kyā raaz thā ki jis ko chhupā kar chale ga.e
rag rag meñ is tarah vo samā kar chale ga.e
jaise mujhī ko mujh se churā kar chale ga.e
merī hayāt-e-ishq ko de kar junūn-e-shauq
mujh ko tamām hosh banā kar chale ga.e
samjhā ke pastiyāñ mire auj-e-kamāl kī
apnī bulandiyāñ vo dikhā kar chale ga.e
apne faroġh-e-husn kī dikhlā ke vus.ateñ
mere hudūd-e-shauq baḌhā kar chale ga.e
har shai ko merī ḳhātir-e-nāshād ke liye
ā.īna-e-jamāl banā kar chale ga.e
aa.e the dil kī pyaas bujhāne ke vāste
ik aag sī vo aur lagā kar chale ga.e
aa.e the chashm-e-shauq kī hasrat nikālne
sar-tā-qadam nigāh banā kar chale ga.e
ab kārobār-e-ishq se fursat mujhe kahāñ
kaunain kā vo dard baḌhā kar chale ga.e
shukr-e-karam ke saath ye shikva bhī ho qubūl
apnā sā kyuuñ na mujh ko banā kar chale ga.e
lab thartharā ke rah ga.e lekin vo ai 'jigar'
jaate hue nigāh milā kar chale ga.e