.jpg)
Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Shayar aur Naghma-Nigaar - Qateel Shifai
Qateel Shifai - Shayar aur Naghma-Nigaar
(24th Dec 1919 - 11th July 2001)
He born in British India (now Pakistan). He started working in the Pakistani film industry in 1947 as a lyricist. He wrote 2,500 songs and published multiple books. His talent crossed geographical border. His Urdu poetry has been translated into numerous languages including Hindi, Gujarati, English, Russian and Chinese. He was honored with multiple awards.
If you like our podcast please share it with your friends. Leave a review. Feedback is always welcome and much appreciated.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
https://www.buymeacoffee.com/abdulsiddiqui
#urdughazal
#urdupoetry #urdughazal #urduadab #Qateelshifai #Mainshayartohnahin #urdupodcasts
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
tum pūchho aur maiñ na batā.ūñ aise to hālāt nahīñ
ek zarā sā dil TuuTā hai aur to koī baat nahīñ
mere ġhamgīñ hone par ahbāb haiñ yuuñ hairān 'qateel'
jaise maiñ patthar huuñ mere siine meñ jazbāt nahīñ
==================
apne hoñToñ par sajānā chāhtā huuñ
aa tujhe maiñ gungunānā chāhtā huuñ
koī aañsū tere dāman par girā kar
buuñd ko motī banānā chāhtā huuñ
thak gayā maiñ karte karte yaad tujh ko
ab tujhe maiñ yaad aanā chāhtā huuñ
chhā rahā hai saarī bastī meñ añdherā
raushnī ko, ghar jalānā chāhtā huuñ
āḳhrī hichkī tire zaanū pe aa.e
maut bhī maiñ shā.irāna chāhtā huuñ
==========================
tumhārī anjuman se uTh ke dīvāne kahāñ jaate
jo vābasta hue tum se vo afsāne kahāñ jaate
nikal kar dair-o-ka.aba se agar miltā na mai-ḳhāna
to Thukrā.e hue insāñ ḳhudā jaane kahāñ jaate
tumhārī be-ruḳhī ne laaj rakh lī bāda-ḳhāne kī
tum āñkhoñ se pilā dete to paimāne kahāñ jaate
chalo achchhā huā kaam aa ga.ī dīvāngī apnī
vagarna ham zamāne bhar ko samjhāne kahāñ jaate
'qateel' apnā muqaddar ġham se begāna agar hotā
to phir apne parā.e ham se pahchāne kahāñ jaate
===============
mil kar judā hue to na soyā kareñge ham
ik dūsre kī yaad meñ royā kareñge ham
aañsū jhalak jhalak ke satā.eñge raat bhar
motī palak palak meñ piroyā kareñge ham
jab dūriyoñ kī aag diloñ ko jalā.egī
jismoñ ko chāñdnī meñ bhigoyā kareñge ham
ban kar har ek bazm kā mauzū-e-guftugū
sheroñ meñ tere ġham ko samoyā kareñge ham
gar de gayā daġhā hameñ tūfān bhī 'qateel'
sāhil pe kashtiyoñ ko Duboyā kareñge ham
=========
vo dil hī kyā tire milne kī jo duā na kare
maiñ tujh ko bhuul ke zinda rahūñ ḳhudā na kare
rahegā saath tirā pyaar zindagī ban kar
ye aur baat mirī zindagī vafā na kare
ye Thiik hai nahīñ martā koī judā.ī meñ
ḳhudā kisī ko kisī se magar judā na kare
sunā hai us ko mohabbat duā.eñ detī hai
jo dil pe choT to khaa.e magar gila na kare
agar vafā pe bharosa rahe na duniyā ko
to koī shaḳhs mohabbat kā hausla na kare
bujhā diyā hai nasīboñ ne mere pyaar kā chāñd
koī diyā mirī palkoñ pe ab jalā na kare
zamāna dekh chukā hai parakh chukā hai ise
'qateel' jaan se jaa.e par iltijā na kare
==============
haath diyā us ne mire haath meñ
maiñ to valī ban gayā ik raat meñ
ishq karoge to kamāoge naam
tohmateñ baTtī nahīñ ḳhairāt meñ
ishq burī shai sahī par dosto
daḳhl na do tum mirī har baat meñ
mujh pe tavajjoh hai sab āfāt kī
koī kashish to hai mirī zaat meñ
shaam kī gul-rañg havā kyā chalī
dard mahakne lagā jazbāt meñ
haath meñ kāġhaz kī liye chhatriyāñ
ghar se na niklā karo barsāt meñ
rabt baḌhāyā na 'qateel' is liye
farq thā donoñ ke ḳhayālāt meñ
============
apne hāthoñ kī lakīroñ meñ sajā le mujh ko
maiñ huuñ terā tū nasīb apnā banā le mujh ko
maiñ jo kāñTā huuñ to chal mujh se bachā kar dāman
maiñ huuñ gar phuul to juuḌe meñ sajā le mujh ko
tark-e-ulfat kī qasam bhī koī hotī hai qasam
tū kabhī yaad to kar bhūlne vaale mujh ko
mujh se tū pūchhne aayā hai vafā ke ma.anī
ye tirī sāda-dilī maar na Daale mujh ko
kal kī baat aur hai maiñ ab sā rahūñ yā na rahūñ
jitnā jī chāhe tirā aaj satā le mujh ko
================
pareshāñ raat saarī hai sitāro tum to so jaao
sukūt-e-marg taarī hai sitāro tum to so jaao
hañso aur hañste hañste Dūbte jaao ḳhalāoñ meñ
hamīñ pe raat bhārī hai sitāro tum to so jaao
tumheñ kyā aaj bhī koī agar milne nahīñ aayā
ye baazī ham ne haarī hai sitāro tum to so jaao
kahe jaate ho ro ro kar hamārā haal duniyā se
ye kaisī rāzdārī hai sitāro tum to so jaao
hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so hī jā.eñge
abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao
=======================
ye mo.ajiza bhī mohabbat kabhī dikhā.e mujhe
ki sañg tujh pe gire aur zaḳhm aa.e mujhe
ba-rañg-e-ūd milegī use mirī ḳhushbū
vo jab bhī chāhe baḌe shauq se jalā.e mujhe
vahī to sab se ziyāda hai nukta-chīñ merā
jo muskurā ke hamesha gale lagā.e mujhe
maiñ apne dil se nikālūñ ḳhayāl kis kis kā
jo tū nahīñ to koī aur yaad aa.e mujhe
vo merā dost hai saare jahāñ ko hai ma.alūm
daġhā kare vo kisī se to sharm aa.e mujhe
vo mehrbāñ hai to iqrār kyuuñ nahīñ kartā
vo bad-gumāñ hai to sau baar āzmā.e mujhe
maiñ apnī zaat meñ nīlām ho rahā huuñ 'qateel'
ġham-e-hayāt se kah do ḳharīd laa.e mujhe
=======================
kiyā hai pyaar jise ham ne zindagī kī tarah
vo āshnā bhī milā ham se ajnabī kī tarah
kise ḳhabar thī baḌhegī kuchh aur tārīkī
chhupegā vo kisī badlī meñ chāñdnī kī tarah
baḌhā ke pyaas mirī us ne haath chhoḌ diyā
vo kar rahā thā muravvat bhī dil-lagī kī tarah
sitam to ye hai ki vo bhī na ban sakā apnā
qubūl ham ne kiye jis ke ġham ḳhushī kī tarah
kabhī na sochā thā ham ne 'qateel' us ke liye
karegā ham pe sitam vo bhī har kisī kī tarah
===============
hālāt ke qadmoñ pe qalandar nahīñ girtā
TuuTe bhī jo taarā to zamīñ par nahīñ girtā
girte haiñ samundar meñ baḌe shauq se dariyā
lekin kisī dariyā meñ samundar nahīñ girtā
samjho vahāñ phaldār shajar koī nahīñ hai
vo sahn ki jis meñ koī patthar nahīñ girtā
itnā to huā fā.eda bārish kī kamī kā
is shahr meñ ab koī phisal kar nahīñ girtā
in.aam ke lālach meñ likhe mad.h kisī kī
itnā to kabhī koī suḳhan-var nahīñ girtā
hairāñ hai ka.ī roz se Thahrā huā paanī
tālāb meñ ab kyuuñ koī kañkar nahīñ girtā
us banda-e-ḳhuddār pe nabiyoñ kā hai saaya
jo bhuuk meñ bhī luqma-e-tar par nahīñ girtā
=================================
husn ko chāñd javānī ko kañval kahte haiñ
un kī sūrat nazar aa.e to ġhazal kahte haiñ
uf vo marmar se tarāshā huā shaffāf badan
dekhne vaale use tāj-mahal kahte haiñ
===============
khulā hai jhuuT kā bāzār aao sach boleñ
na ho balā se ḳharīdār aao sach boleñ
sukūt chhāyā hai insāniyat kī qadroñ par
yahī hai mauqa-e-iz.hār aao sach boleñ
hameñ gavāh banāyā hai vaqt ne apnā
ba-nām-e-azmat-e-kirdār aao sach boleñ
sunā hai vaqt kā hākim baḌā hī munsif hai
pukār kar sar-e-darbār aao sach boleñ
jo vasf ham meñ nahīñ kyuuñ kareñ kisī meñ talāsh
agar zamīr hai bedār aao sach boleñ
chhupā.e se kahīñ chhupte haiñ daaġh chehre ke
nazar hai ā.ina-bardār aao sach boleñ
'qateel' jin pe sadā pattharoñ ko pyaar aayā
kidhar ga.e vo gunahgār aao sach boleñ
======================================
marhala raat kā jab aa.egā
jism saa.e ko taras jā.egā
e'tibār us kā hamesha karnā
vo to jhūTī bhī qasam khā.egā
tū na hogī to phir ai shām-e-firāq
kaun aa kar hameñ bahalā.egā
ham use yaad bahut ā.eñge
jab use bhī koī Thukrā.egā
kā.enāt us kī mirī zaat meñ hai
mujh ko kho kar vo kise pā.egā
na rahe jab vo bhale din bhī 'qateel'
ye zamāna bhī guzar jā.egā
===================
us adā se bhī huuñ maiñ āshnā tujhe itnā jis pe ġhurūr hai
maiñ jiyūñgā tere baġhair bhī mujhe zindagī kā sha.ūr hai
na havas mujhe mai-e-nāb kī na talab sabā-o-sahāb kī
tirī chashm-e-nāz kī ḳhair ho mujhe be-piye hī surūr hai
jo samajh liyā tujhe bā-vafā to phir is meñ terī bhī kyā ḳhatā
ye ḳhalal hai mere dimāġh kā ye mirī nazar kā qusūr hai
============
raqs karne kā milā hukm jo dariyāoñ meñ
ham ne ḳhush ho ke bhañvar bāñdh liye paañv meñ
un ko bhī hai kisī bhīge hue manzar kī talāsh
buuñd tak bhī na bo sake jo kabhī sahrāoñ meñ
jo bhī aatā hai batātā hai nayā koī ilaaj
baT na jaa.e tirā bīmār masīhāoñ meñ
hausla kis meñ hai yūsuf kī ḳharīdārī kā
ab to mahñgā.ī ke charche haiñ zuleḳhāoñ meñ
jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
us ko dafnāo mire haath kī rekhāoñ meñ
vo ḳhudā hai kisī TuuTe hue dil meñ hogā
masjidoñ meñ use DhūñDo na kalīsāoñ meñ
ham ko aapas meñ mohabbat nahīñ karne dete
ik yahī aib hai is shahr ke dānāoñ meñ
mujh se karte haiñ 'qateel' is liye kuchh log hasad
kyuuñ mire sher haiñ maqbūl hasīnāoñ meñ
============================
yaaro kahāñ tak aur mohabbat nibhā.ūñ maiñ
do mujh ko bad-duā ki use bhuul jā.ūñ maiñ
suntā huuñ ab kisī se vafā kar rahā hai vo
ai zindagī ḳhushī se kahīñ mar na jā.ūñ maiñ
us jaisā naam rakh ke agar aa.e maut bhī
hañs kar use 'qateel' gale se lagā.ūñ maiñ
Mohe aayi na jag se laaj
Main itna zor se nachi aaj
Ke ghungharu tut gaye
Ke ghungroo tut gaye
Kuch mujhpe naya joban bhi tha
Kuch pyar ka pagal pan bhi tha
Ek palak meri teer bani
Ek zulf meri zanjeer bani
Liya dil sajan ka jeet
Wo chhede payaliya ke geet
Ke ghungroo tut gaye
Ke ghungroo tut gaye
Mohe aayi na jag se laaj
Main itna zor se nachi aaj
Ke ghungroo tut gaye
Main basi thi jiske sapno mein
Wo milega ab mujhe apno mein
Kehti hai meri har angadayi
Main piya ki neend chura layi
Main ban ke gayi thi chor
Ke meri payal thi kamzor
Ke ghungroo tut gaye
Mohe aayi na jag se laaj
Main itna zor se nachi aaj
Ke ghungroo tut gaye