Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Shakeel Badayuni
Shakeel Badayuni (3 August 1916 – 20 April 1970) was a famous Indian Urdu poet & lyricist. He is best remembered for most of his songs with music director Naushad. Shakiil won three Filmfare Awards in a row from 1961 to 1963 for his songs 'Kahin Deep Jale Kahin Dil' (Bees Saal Baad), 'Husnwale Tera Jawab Nahin' (Gharana), and 'Chaudvin Ka Chand Ho' (Chaudhvin Ka Chand).
kabhī yak-ba-yak tavajjoh kabhī daf.atan taġhāful,
mujhe aazmā rahā hai koī ruḳh badal badal kar.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
ġham-e-āshiqī se kah do, rah-e-ām tak na pahuñche
mujhe ḳhauf hai ye tohmat, tire naam tak na pahuñche
maiñ nazar se pī rahā thā, to ye dil ne bad-duā dī
tirā haath zindagī bhar, kabhī jaam tak na pahuñche
vo navā-e-muzmahil kyā, na ho jis meñ dil kī dhaḌkan
vo sadā-e-ahl-e-dil kyā, jo avaam tak na pahuñche
na.ī sub.h par nazar hai, magar aah ye bhī Dar hai
ye sahar bhī rafta rafta, kahīñ shaam tak na pahuñche
ye adā-e-bay-niyāzī, tujhe bevafā mubārak
magar aisī be-ruḳhī kyā, ki salām tak na pahuñche
jo naqāb-e-ruḳh uThā dī, to ye qaid bhī lagā dī
uThe har nigāh lekin, koī baam tak na pahuñche
unheñ apne dil kī ḳhabreñ, mire dil se mil rahī haiñ
maiñ jo un se ruuTh jā.ūñ, to payām tak na pahuñche
vahī ik ḳhamosh naġhma hai ‘shakīl', jān-e-hastī
jo zabān par na aa.e, jo kalām tak na pahuñche
=======
mere ham-nafas, mere ham-navā, mujhe dost ban ke daġhā na de
maiñ huuñ dard-e-ishq se jāñ-ba-lab, mujhe zindagī kī duā na de
mere dāġh-e-dil se hai raushnī isī raushnī se hai zindagī
mujhe Dar hai ai mire chāra-ga,r ye charāġh tū hī bujhā na de
mujhe chhoḌ de mire haal par, tirā kyā bharosa hai, chāra-gar
ye tirī navāzish-e-muḳhtasar, mirā dard aur baḌhā na de
merā azm itnā buland hai, kay parā.e sho.aloñ kā Dar nahīñ
mujhe ḳhauf ātish-e-gul se hai, ye kahīñ chaman ko jalā na de
vo uThe haiñ le ke ḳhum-o-subū, aray o ‘shakīl', kahāñ hai tū
tirā jaam lene ko bazm meñ, koī aur haath baḌhā na de
=========
āḳhirī vaqt hai, āḳhirī saañs hai, zindagī kī hai shaam āḳhirī āḳhirī
sañg-dil aa bhī jā ab ḳhudā ke liye, lab pe hai terā naam, āḳhirī āḳhirī
kuchh to āsān hogā adam kā safar, un se kahnā tumheñ DhūñDhtī hai nazar
nāma-bar tū ḳhudārā na ab der kar, de de un ko payām, āḳhirī āḳhirī
tauba kartā huuñ kal se piyūñgā nahīñ, mai-kashī ke sahāre jiyūñgā nahīñ
merī tauba se pahle magar sāqiyā sirf de ek jaam, āḳhirī āḳhirī
mujh ko yāroñ ne nahlā ke kafnā diyā, do ghaḌī bhī na biitī ki dafnā diyā
kaun kartā hai ġham, TūTte hī ye dam kar diyā intizām, āḳhirī āḳhirī
jīte-jī qadr merī kisī ne na kī, zindagī bhī mirī, bevafā ho ga.ī
duniyā vaalo mubārak ye duniyā tumheñ, kar chale ham salām, āḳhirī āḳhirī
========
ai ishq ye sab duniyā vaale, be-kār kī bāteñ karte haiñ
paa.el ke ġhamoñ kā ilm nahīñ, jhankār kī bāteñ karte haiñ
har dil meñ chhupā hai tiir, koī har paañv meñ hai zanjīr koī
pūchhe koī in se ġham ke maze, jo pyaar kī bāteñ karte haiñ
ulfat ke na.e dīvānoñ ko, kis tarah se koī samjhā.e
nazroñ pe lagī hai pābandī, dīdār kī bāteñ karte haiñ
bhañvre haiñ agar mad.hosh to kyā, parvāne bhī haiñ ḳhāmosh to kyā
sab pyaar ke naġhme gaate haiñ, sab yaar kī bāteñ karte haiñ
===========
kaise kah duuñ, kī mulāqāt nahīñ hotī hai
roz milte haiñ, magar baat nahīñ hotī hai
aap lillāh, na dekhā kareñ ā.īna kabhī
dil kā aa jaanā, baḌī baat nahīñ hotī hai
chhup ke rotā huuñ tirī yaad meñ, duniyā bhar se
kab mirī aañkh se, barsāt nahīñ hotī hai
hāl-e-dil pūchhne vaale, tirī duniyā meñ kabhī
din to hotā hai magar, raat nahīñ hotī hai
jab bhī milte haiñ to kahte haiñ, kay kaise ho 'shakīl'
is se aage to koī baat, nahīñ hotī hai
========
ab to ḳhushī kā ġham hai, na ġham kī ḳhushī mujhe
be-his banā chukī hai bahut, zindagī mujhe
vo vaqt bhī, ḳhudā na dikhā.e kabhī mujhe
un kī nadāmatoñ pe ho, sharmindagī mujhe
rone pe apne un ko bhī, afsurda dekh kar
yuuñ ban rahā huuñ, jaise ab aa.ī hañsī mujhe
yuuñ dījiye fareb-e-mohabbat kay, umr bhar
maiñ zindagī ko yaad karūñ, zindagī mujhe
paayā hai sab ne dil magar, is dil ke bāvajūd
ik shai milī hai dil meñ, khaTaktī huī mujhe
raazī hoñ yā ḳhafā hoñ, vo jo kuchh bhī hoñ 'shakīl'
har haal meñ qubūl hai, un kī ḳhushī mujhe
======
ġham-e-ishq rah gayā hai, ġham-e-justujū meñ Dhal kar
vo nazar se chhup ga.e haiñ, mirī zindagī badal kar
terī guftugū ko nāseh, dil-e-ġham-zadā se jal kar
abhī tak to sun rahā thā, magar ab sambhal sambhal kar
na milā surāġh-e-manzil, kabhī umr bhar kisī ko
nazar aa ga.ī hai manzil, kabhī do qadam hī chal kar
ġham-e-umr-e-muḳhtasar se, abhī be-ḳhabar haiñ kaliyāñ
na chaman meñ pheñk denā, kisī phuul ko masal kar
haiñ kisī ke muntazir ham, magar ai umīd-e-mub.ham
kahīñ vaqt rah na jaa.e, yūñhī karvaTeñ badal kar
mirī tez-gāmiyoñ se, nahīñ barq ko bhī nisbat
kahīñ kho na jaa.e duniyā, mire saath saath chal kar
kabhī yak-ba-yak tavajjoh, kabhī daf.atan taġhāful
mujhe aazmā rahā hai, koī ruḳh badal badal kar
haiñ 'shakīl' zindagī meñ, ye jo vus.ateñ numāyāñ
inhīñ vus.atoñ se paidā, koī ālam-e-ġhazal kar
=============