Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Kaleem Ajiz
Eminent poet, educationist and Padam Shree recipient Dr. Kaleem Aajiz was born in a village in Patna district in the 1926. He was a gold medalist in BA from Patna College and then earned his Masters degree in Urdu from Patna University. He also got his doctorate from Patna University for his thesis on "Evolution of Urdu Literature in Bihar. He served as a lecturer for decades in the Department of Urdu at Patna University. In 1976, his first book of ghazals was released by the President of India in Vigyan Bhawan, Delhi. In the '60s and '70s he was the only Urdu poet who represented Bihar in the Red Fort Mushaira held every year in Delhi on the eve of Independence Day.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #kaleemajiz
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
mat burā us ko kaho, garche vo achchhā bhī nahīñ
vo na hotā to ġhazal maiñ, kabhī kahtā bhī nahīñ
jāntā thā ki sitamgar hai, magar kyā kiije
dil lagāne ke liye, aur koī thā bhī nahīñ
jaisā be-dard hai vo phir bhī, hai jaisā mahbūb
aisā koī na huā, aur koī hogā bhī nahīñ
vahī hogā jo huā hai, jo huā kartā hai
maiñ ne is pyaar kā anjām to, sochā bhī nahīñ
haa.e kyā dil hai, ki lene ke liye jaatā hai
us se paimān-e-vafā, jis pe bharosā bhī nahīñ
bārhā guftugū hotī rahī, lekin mirā naam
us ne pūchhā bhī nahīñ, maiñ ne batāyā bhī nahīñ
tohfa zaḳhmoñ kā, mujhe bhej diyā kartā hai
mujh se nārāz hai lekin, mujhe bhūlā bhī nahīñ
dostī us se nibah jaa.e, bahut mushkil hai
merā to va.ada hai, us kā to irāda bhī nahīñ
mere ash.ār vo sun sun ke, maze letā rahā
maiñ usī se huuñ muḳhātib, vo ye samjhā bhī nahīñ
mere vo dost mujhe, dād-e-suḳhan kyā deñge
jin ke dil kā koī hissa, zarā TuuTā bhī nahīñ
mujh ko banñā paḌā shā.ir, ki maiñ apnā ġham-e-dil
zabt bhī kar na sakā, phuuT ke royā bhī nahīñ
shā.irī jaisī ho 'ājiz' kī, bhalī ho ki burī
aadmī achchhā hai lekin, bahut achchhā bhī nahīñ
============
is naaz is andāz se tum haa.e chalo ho
roz ek ġhazal ham se kahlvā.e chalo ho
rakhnā hai kahīñ paañv, to rakkho ho kahīñ paañv
chalnā zarā aayā hai to, itrā.e chalo ho
mai meñ koī ḳhāmī hai, na sāġhar meñ koī khoT
piinā nahīñ aa.e hai, to chhalkā.e chalo ho
zulfoñ kī to fitrat hī hai, lekin mire pyāre
zulfoñ se ziyāda, tumhīñ bal khaa.e chalo ho
ham kuchh nahīñ kahte haiñ, koī kuchh nahīñ kahtā
tum kyā ho, tumhīñ sab se kahlvā.e chalo ho
vo shoḳh sitamgar to, sitam Dhaa.e chale hai
tum ho ki 'kalīm' apnī ġhazal, gaa.e chalo ho
=========
bayāñ jab 'kalīm' apnī, hālat kare hai
ġhazal kyā paḌhe hai, qayāmat kare hai
bhalā aadmī thā, pa nādān niklā
sunā hai kisī se, mohabbat kare hai
kabhī shā.irī is ko karnī na aatī
usī bevafā kī badaulat kare hai
chhurī par chhurī khaa.e jaa.e hai kab se
aur ab tak jiye hai karāmat kare hai
kare hai adāvat bhī vo is adā se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
ye fitne jo har ik taraf uTh rahe haiñ
vahī baiThā baiThā sharārat kare hai
qabā ek din chaak us kī bhī hogī
junūñ kab kisī kī ri.āyat kare hai
======
zālim thā vo aur, zulm kī aadat bhī bahut thī
majbūr the ham, us se mohabbat bhī bahut thī
go tark-e-ta.alluq meñ suhulat bhī bahut thī
lekin na huā ham se ki ġhairat bhī bahut thī
us but ke sitam sah ke dikhā hī diyā ham ne
go apnī tabī.at meñ baġhāvat bhī, bahut thī
vāqif hī na thā, ramz-e-mohabbat se vo varna
dil ke liye, thoḌī sī ināyat hī bahut thī
yuuñ hī nahīñ mash.hūr-e-zamāna mirā qātil
us shaḳhs ko is fan meñ mahārat bhī bahut thī
kyā daur-e-ġhazal thā ki lahū dil meñ bahut thā
aur dil ko lahū karne ki fursat bhī bahut thī
har shaam sunāte the hasīnoñ ko ġhazal ham
jab maal bahut thā to saḳhāvat bhī bahut thī
bulvā ke ham 'ājiz' ko pashemāñ bhī bahut haiñ
kyā kījiye kam-baḳht kī shohrat bhī bahut thī
=======
kis tarah koī dhuup meñ pighle hai jale hai
ye baat vo kyā jaane jo saa.e meñ pale hai
dil dard kī bhaTTī meñ ka.ī baar jale hai
tab ek ġhazal husn ke sāñche meñ Dhale hai
kyā dil hai ki ik saañs bhī ārām na le hai
mahfil se jo nikle hai to ḳhalvat meñ jale hai
bhūlī huī yaad aa ke kaleje ko male hai
jab shaam guzar jaa.e hai jab raat Dhale hai
haañ dekh zarā kyā tire qadmoñ ke tale hai
Thokar bhī vo khaa.e hai jo itrā ke chale hai
====
ye samundar hai kināre hī kināre jaao
ishq har shaḳhs ke bas kā nahīñ pyāre jaao
yuuñ to maqtal meñ tamāshā.ī bahut aate haiñ
aao us vaqt ki jis vaqt pukāre jaao
dil kī baazī lage phir jaan kī baazī lag jaa.e
ishq meñ haar ke baiTho nahīñ haare jaao
kaam ban jaa.e agar zulf-e-junūñ ban jaa.e
is liye is ko sañvāro ki sañvāre jaao
koī rasta koī manzil ise dushvār nahīñ
jis jagah chāho mohabbat ke sahāre jaao
ham to miTTī se ugā.eñge mohabbat ke gulāb
tum agar toḌne jaate ho sitāre jaao
Dūbnā hogā agar Dūbnā taqdīr meñ hai
chāhe kashtī pe raho chāhe kināre jaao
tum hī socho bhalā ye shauq koī shauq huā
aaj ūñchā.ī pe baiTho kal utāre jaao
maut se khel ke karte ho mohabbat 'ājiz'
mujh ko Dar hai kahīñ be-maut na maare jaao
======
kyā ġham hai agar shikva-e-ġham aam hai pyāre
tū dil ko dukhā terā yahī kaam hai pyāre
tere hī tabassum kā sahar naam hai pyāre
tū khol de gesū to abhī shaam hai pyāre
is vaqt tirā jān-e-jahāñ naam hai pyāre
jo kaam tū kar de vo baḌā kaam hai pyāre
jab pyaar kiyā chain se kyā kaam hai pyāre
is meñ to taḌapne hī meñ ārām hai pyāre
chhūTī hai na chūTegī kabhī pyaar kī aadat
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ jo anjām hai pyāre
ai kaash mirī baat samajh meñ tirī aa.e
merī jo ġhazal hai mirā paiġhām hai pyāre
maiñ huuñ jahāñ sau fikr meñ sau rañj meñ sau dard
tū hai jahāñ ārām hī ārām hai pyāre
go maiñ ne kabhī apnī zabāñ par nahīñ laayā
sab jaan rahe haiñ tirā kyā naam hai pyāre
ham dil ko lagā kar bhī khaTakte haiñ diloñ meñ
tū dil ko dikhā kar bhī dil-ārām hai pyāre
kahtā huuñ ġhazal aur rahā kartā huuñ sarshār
merā yahī shīsha hai yahī jaam hai pyāre
====