Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Kaif Bhopali
Kafi Bhopali was a popular Urdu Poet & lyricist. His ancestors had moved from Kashmir to Lucknow and then to Bhopal. He also wrote songs for films. Chalo Dildar Chalo sung by Mohd. Rafi, in Kamal Amrohi's 1972 classic, Pakeezah was written by him. He also wrote some popular ghazals that were sung by Jagjit Singh. Kaif Bhopali's daughter Parveen Kaif is a noted poet who participates in mushairas.
Kaif Bhopali Real name Khwaja Mohammed Idrees
Born: 20 February 1917 | Lucknow Pradesh, India Died: 24 July 1991 | Bhopal Madhya Pradesh, India
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #kaifbhopali
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
terā chehra kitnā suhānā lagtā hai
tere aage chāñd purānā lagtā hai
tirchhe tirchhe tiir nazar ke lagte haiñ
sīdhā sīdhā dil pe nishānā lagtā hai
aag kā kyā hai pal do pal meñ lagtī hai
bujhte bujhte ek zamānā lagtā hai
paañv nā bāñdhā, panchhī kā par bāñdhā
aaj kā bachcha kitnā siyānā lagtā hai
sach to ye hai, phuul kā dil bhī chhalnī hai
hañstā chehra ek bahānā lagtā hai
sunñe vaale ghanToñ sunte rahte haiñ
merā fasāna,, sab kā fasānā lagtā hai
'kaif' batā, kyā terī ġhazal meñ jaadū hai
bachcha bachcha terā divānā lagtā hai
haa.e logoñ kī karam-farmā.iyāñ
tohmateñ, badnāmiyāñ, rusvā.iyāñ
zindagī shāyad, isī kā naam hai
dūriyāñ, majbūriyāñ, tanhā.iyāñ
kyā zamāne meñ, yuuñ hī kaTtī hai raat
karvaTeñ, betābiyāñ, añgḌā.iyāñ
kyā yahī hotī hai, shām-e-intizār
āhaTeñ, ghabrāhaTeñ, parchhā.iyāñ
ek rind-e-mast, kī Thokar meñ haiñ
shāhiyāñ, sultāniyāñ, dārā.iyāñ
ek paikar meñ simaT kar, rah ga.iiñ
ḳhūbiyāñ, zebā.iyāñ, rānā.iyāñ
rah ga.iiñ, ik tifl-e-maktab, ke huzūr
hikmateñ, āgāhiyāñ, dānā.iyāñ
zaḳhm dil ke, phir hare karne lagīñ
badliyāñ, barkhā ruteñ, purvā.iyāñ
dīda-o-dānista, un ke sāmne
laġhzisheñ, nākāmiyāñ, paspā.iyāñ
mere dil kī, dhaḌkanoñ meñ, Dhal ga.iiñ
chūḌiyāñ, mausiqiyāñ, shahnā.iyāñ
un se mil kar, aur bhī kuchh baḌh ga.iiñ
uljhaneñ, fikreñ, qayās-ārā.iyāñ
'kaif' paidā kar, samundar kī tarah
vus.ateñ, ḳhāmoshiyāñ, gahrā.iyāñ
=======
kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā
merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā
dil-e-nādāñ na dhaḌak, ai dil-e-nādāñ na dhaḌak
koī ḳhat le ke, paḌosī ke ghar aayā hogā
is gulistāñ kī yahī riit hai, ai shāḳh-e-gul
tū ne jis phuul ko paalā, vo parāyā hogā
dil kī qismat, hī meñ likkhā thā añdherā shāyad
varna masjid kā diyā, kis ne bujhāyā hogā
gul se lipTī huī, titlī ko girā kar dekho
āñdhiyo tum ne, daraḳhtoñ ko girāyā hogā
khelne ke liye, bachche nikal aa.e hoñge
chāñd ab, us kī galī meñ utar aayā hogā
'kaif' pardes meñ, mat yaad karo apnā makāñ
ab ke bārish ne use, toḌ girāyā hogā
terā chehra, sub.h kā taarā lagtā hai
sub.h kā taarā, kitnā pyārā lagtā hai
tum se mil kar, imlī mīThī lagtī hai
tum se bichhaḌ kar, shahad bhī khārā lagtā hai
raat hamāre saath tū jaagā kartā hai
chāñd batā tū, kaun hamārā lagtā hai
kis ko ḳhabar, ye kitnī qayāmat Dhātā hai
ye laḌkā jo, itnā bechāra lagtā hai
titlī chaman meñ, phuul se lipTī rahtī hai
phir bhī chaman meñ, phuul kañvārā lagtā hai
'kaif' , vo kal kā 'kaif' kahāñ hai aaj miyāñ
ye to koī, vaqt kā maarā lagtā hai =====
tujhe kaun jāntā thā, mirī dostī se pahle
tirā husn kuchh nahīñ thā, mirī shā.irī se pahle
idhar aa raqīb mere, maiñ tujhe gale lagā luuñ
mirā ishq be-mazā thā, tirī dushmanī se pahle
ka.ī inqilāb aa.e, ka.ī ḳhush-ḳhirām guzre
na uThī magar qayāmat, tirī kam-sinī se pahle
mirī sub.h ke sitāre, tujhe DhūñDtī haiñ āñkheñ
kahīñ raat Das na jaa.e, tirī raushnī se pahle
====
ye dāḌhiyāñ, ye tilak dhāriyāñ, nahīñ chaltīñ
hamāre ahd meñ, makkāriyāñ nahīñ chaltīñ
qabīle vāloñ ke dil joḌiye, mire sardār
saroñ ko kaaT ke, sardāriyāñ nahīñ chaltīñ
burā na maan, agar yaar kuchh burā kah de
diloñ ke khel meñ, ḳhuddāriyāñ nahīñ chaltīñ
chhalak chhalak paḌīñ, āñkhoñ kī gāgareñ aksar
sambhal sambhal ke ye, panhāriyāñ nahīñ chaltīñ
janāb-e-‘kaif', ye dillī hai 'mīr' o 'ġhālib' kī
yahāñ kisī kī taraf-dāriyāñ, nahīñ chaltīñ