Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri a prominent Urdu poet who reached unprecedented heights of fame & acclaim, he is considered one of the most influential and electrifying poets of his time. According to Dr. Khawaja Ahmad Farooqi, “If it were not for Firaq, the land of our ghazals would be dull, its ascension would not be more than it would be a carbon copy of Persian master’s ghazals or imitating dead and lifeless Iranian traditions. Firaq stirred a whole generation and still does. He played an important role in nurturing poetry and despite being a poet of beauty and love, he looked at these subjects from a new angle. He not only expressed his feelings and emotions but also presented various results of consciousness and perception. He introduced the readers to the standards and values not only of Urdu but also of world literature and at the same time developed a healthy ideology by emphasizing the powerful aspects of modernity, geography and civilization. Having paved the way, he showed Urdu ghazal new horizons of meaning, thought, word and expression.”
Firaq Gorakhpuri Real name Raghupati Sahai
Born: 28 Aug 1896 | Gorakhpur, Uttar pradesh
Died: 03 Mar 1982 | Delhi, India
Awards: Sahitya Akademi Award (1960) | Jnanpith Award (1969)
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #firaqgorakhpuri
Source: rekhta.org
AUTHORITY CONTROL :
The Library of Congress Control Number (LCCN) : n84018287
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
Raghupati Sahay Firaaq ke meray pasandeeda ashaar suniye.
sunte haiñ, ishq naam ke guzre haiñ ik buzurg
ham log bhī faqīr, isī silsile ke haiñ
shaam bhī thī dhuāñ dhuāñ, husn bhī thā udaas udaas
dil ko ka.ī kahāniyāñ, yaad sī aa ke rah ga.iiñ
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī, ham duur se pahchān lete haiñ
tabī.at apnī ghabrātī hai jab, sunsān rātoñ meñ
ham aise meñ, tirī yādoñ kī chādar taan lete haiñ
sar meñ saudā bhī nahīñ, dil meñ tamannā bhī nahīñ
lekin is tark-e-mohabbat kā, bharosā bhī nahīñ
ek muddat se, tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe, aisā bhī nahīñ
tum muḳhātib bhī ho, qarīb bhī ho
tum ko dekheñ, ki tum se baat kareñ
ham se kyā ho sakā mohabbat meñ
ḳhair tum ne to, bevafā.ī kī
maiñ huuñ, dil hai, tanhā.ī hai
tum bhī hote, achchhā hotā
na koī va.ada, na koī yaqīñ, na koī umiid
magar hameñ to, tirā intizār karnā thā
aa.e the hañste khelte mai-ḳhāne meñ 'firāq'
jab pī chuke sharāb, to sanjīda ho ga.e
koī samjhe to, ek baat kahūñ
ishq taufīq hai, gunāh nahīñ
maut kā bhī, ilaaj ho shāyad
zindagī kā koī ilaaj, nahīñ
raat bhī, niiñd bhī, kahānī bhī
haa.e kyā chiiz hai, javānī bhī
tere aane kī, kyā umiid magar
kaise kah duuñ ki, intizār nahīñ
ab to un kī yaad bhī, aatī nahīñ
kitnī tanhā ho ga.iiñ, tanhā.iyāñ
jo uljhī thī kabhī, aadam ke hāthoñ
vo gutthī aaj tak, suljhā rahā huuñ
aaj āġhosh meñ thā, aur koī
der tak, ham tujhe na bhuul sake
kahāñ kā vasl, tanhā.ī ne shāyad bhes badlā hai
tire dam bhar ke mil jaane ko, ham bhī kyā samajhte haiñ
merī ghuTTī meñ paḌī thī ho ke hal urdu zabāñ
jo bhī maiñ kahtā gayā husn-e-bayāñ bantā gayā
vo rātoñ-rāt 'sirī-krishn' ko uThā.e hue
balā kī qaid se 'basdev' kā nikal jaanā
isī khañDar meñ, kahīñ kuchh diye haiñ TuuTe hue
inhīñ se kaam chalāo, baḌī udaas hai raat
vaqt-e-ġhurūb aaj karāmāt ho ga.ī
zulfoñ ko us ne khol diyā raat ho ga.ī
kamī na kī tire vahshī ne, ḳhaak uḌāne meñ
junūñ kā naam, uchhaltā rahā zamāne meñ
hazār baar, zamāna idhar se guzrā hai
na.ī na.ī sī hai kuchh, terī rahguzar phir bhī
vaqt-e-pīrī dostoñ kī be-ruḳhī kā kyā gilā
bach ke chalte haiñ sabhī girtī huī dīvār se
kam se kam maut se aisī mujhe ummīd nahīñ
zindagī tū ne to dhoke pe diyā hai dhoka
ik umr kaT ga.ī hai, tire intizār meñ
aise bhī haiñ, ki kaT na sakī jin se, ek raat
sitāroñ se ulajhtā, jā rahā huuñ
shab-e-furqat, bahut ghabrā rahā huuñ
tire ġham ko bhī kuchh, bahlā rahā huuñ
jahāñ ko bhī samajhtā, jā rahā huuñ
yaqīñ ye hai, haqīqat khul rahī hai
gumāñ ye hai, ki dhoke khā rahā huuñ
agar mumkin ho, le le apnī aahaT
ḳhabar do husn ko, maiñ aa rahā huuñ
hadeñ, husn-o-mahabbat kī milā kar
qayāmat par, qayāmat Dhā rahā huuñ
ḳhabar hai tujh ko, ai zabt-e-mahabbat
tire hāthoñ meñ luTtā, jā rahā huuñ
asar bhī le rahā huuñ, terī chup kā
tujhe qaa.il bhī, kartā jā rahā huuñ
bharam tere sitam kā, khul chukā hai
maiñ tujh se aaj, kyuuñ sharmā rahā huuñ
unhīñ meñ raaz haiñ, gul-bāriyoñ ke
maiñ jo, chiñgāriyāñ barsā rahā huuñ
jo un ma.asūm āñkhoñ ne, diye the
vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ
tire pahlū meñ kyuuñ hotā hai mahsūs
ki tujh se duur hotā jā rahā huuñ
had-e-jor-o-karam se baḌh chalā husn
nigāh-e-yār ko, yaad aa rahā huuñ
jo uljhī thī kabhī, aadam ke hāthoñ
vo gutthī aaj tak, suljhā rahā huuñ
mahabbat ab, mahabbat ho chalī hai
tujhe kuchh bhūltā sā, jā rahā huuñ
ajal bhī, jin ko sun kar, jhūmtī hai
vo naġhme zindagī ke, gā rahā huuñ
ye sannāTā hai, mere paañv kī chaap
'firāq' apnī kuchh aahaT, pā rahā huuñ
raat bhī, niiñd bhī, kahānī bhī
haa.e kyā chiiz hai, javānī bhī
ek paiġhām-e-zindagānī bhī
āshiqī marg-e-nā-gahānī bhī
is adā kā tirī, javāb nahīñ
mehrbānī bhī, sargirānī bhī
dil ko apne bhī, ġham the duniyā meñ
kuchh balā.eñ thiiñ, āsmānī bhī
mansab-e-dil, ḳhushī luTānā hai
ġham-e-pinhāñ kī, pāsbānī bhī
dil ko sho.aloñ se, kartī hai sairāb
zindagī aag bhī hai, paanī bhī
shād-kāmoñ ko, ye nahīñ taufīq
dil-e-ġham-ghīñ kī, shādmānī bhī
laakh husn-e-yaqīñ se, baḌh kar hai
un nigāhoñ kī, bad-gumānī bhī
ishq-e-nākām kī hai, parchhā.īñ
shādmānī bhī, kāmrānī bhī
dekh dil ke nigār-ḳhāne meñ
zaḳhm-e-pinhāñ kī hai, nishānī bhī
ḳhalq, kyā kyā, mujhe nahīñ kahtī
kuchh sunūñ maiñ, tirī zabānī bhī
aa.e tārīḳh-e-ishq meñ, sau baar
maut ke daur-e-darmiyānī bhī
apnī ma.asūmiyat ke parde meñ
ho ga.ī vo nazar, siyānī bhī
din ko sūraj-mukhī hai, vo nau-gul
raat ko hai vo, rāt-rānī bhī
dil-e-bad-nām, tere baare meñ
log kahte haiñ, ik kahānī bhī
vaz.a karte, koī na.ī duniyā
ki ye duniyā huī, purānī bhī
dil ko ādāb-e-bandagī bhī, na aa.e
kar ga.e log, hukmarānī bhī
jaur-e-kam-kam kā shukriya, bas hai
aap kī, itnī mehrbānī bhī
dil meñ ik huuk bhī uThī, ai dost
yaad aa.ī, tirī javānī bhī
sar se pā tak, supurdagī kī adā
ek andāz-e-turkamānī bhī
paas rahnā kisī kā, raat kī raat
mehmānī bhī, mezbānī bhī
ho na, aks-e-jabīn-e-nāz ki hai
dil meñ ik, nūr-e-kahkashānī bhī
zindagī, ain dīd-e-yār 'firāq'
zindagī hijr kī, kahānī bhī
kisī kā yuuñ to huā kaun, umr bhar phir bhī
ye husn-o-ishq to dhokā hai sab, magar phir bhī
hazār baar zamāna, idhar se guzrā hai
na.ī na.ī sī hai kuchh, terī rahguzar phir bhī
kahūñ ye kaise idhar dekh, yā na dekh udhar
ki dard, dard hai phir bhī, nazar, nazar phir bhī
ḳhushā ishāra-e-paiham, zahe sukūt-e-nazar
darāz ho ke fasāna hai, muḳhtasar phir bhī
jhapak rahī haiñ zamān-o-makāñ kī bhī, āñkheñ
magar hai qāfila, āmāda-e-safar phir bhī
shab-e-firāq se aage hai, aaj merī nazar
ki kaT hī jā.egī, ye shām-e-be-sahar phir bhī
kahīñ yahī to nahīñ, kāshif-e-hayāt-o-mamāt
ye husn-o-ishq ba-zāhir haiñ, be-ḳhabar phir bhī
palaT rahe haiñ ġharīb-ul-vatan, palaTnā thā
vo kūcha rū-kash-e-jannat ho, ghar hai ghar, phir bhī
luTā huā chaman-e-ishq hai, nigāhoñ ko
dikhā gayā vahī kyā kyā, gul-o-samar phir bhī
ḳharāb ho ke bhī, sochā kiye, tire mahjūr
yahī, ki terī nazar hai, tirī nazar phir bhī
ho be-niyāz-e-asar bhī kabhī, tirī miTTī
vo kīmiyā hī sahī, rah ga.ī kasar phir bhī
lipaT gayā tirā dīvāna, garche manzil se
uḌī uḌī sī hai ye, ḳhāk-e-rahguzar, phir bhī
tirī nigāh se bachne meñ, umr guzrī hai
utar gayā rag-e-jāñ meñ, ye neshtar phir bhī
ġham-e-firāq ke kushtoñ kā hashr, kyā hogā
ye shām-e-hijr to, ho jā.egī sahar phir bhī
fanā bhī ho, ke girāñ-bārī-e-hayāt na pūchh
uThā.e uTh nahīñ saktā, ye dard-e-sar phir bhī
sitam ke rañg haiñ, har iltifāt-e-pinhāñ meñ
karam-numā haiñ tire jaur, sar-ba-sar phir bhī
ḳhatā-muāf, tirā afv bhī hai, misl-e-sazā
tirī sazā meñ hai, ik shān-e-dar-guzar phir bhī
agarche be-ḳhudī-e-ishq ko zamāna huā
'firāq' kartī rahī kaam, vo nazar phir bhī
bahut pahle se, un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī, ham duur se pahchān lete haiñ
mirī nazreñ bhī, aise qātiloñ kā jaan-o-īmāñ haiñ
nigāheñ milte hī, jo jaan aur īmān lete haiñ
nigāh-e-bāda-gūñ, yuuñ to tirī bātoñ kā kyā kahnā
tirī har baat lekin, ehtiyātan chhān lete haiñ
tabī.at apnī ghabrātī hai jab, sunsān rātoñ meñ
ham aise meñ, tirī yādoñ kī chādar taan lete haiñ
ḳhud apnā faisla bhī, ishq meñ kaafī nahīñ hotā
use bhī kaise kar guzreñ, jo dil meñ Thaan lete haiñ
ham-āhañgī meñ bhī, ik chāshnī hai iḳhtilāfoñ kī
mirī bāteñ, ba-unvān-e-digar vo maan lete haiñ
ab is ko kufr māneñ, yā bulandī-e-nazar jāneñ
ḳhudā-e-do-jahāñ ko de ke, ham insān lete haiñ
jise sūrat batāte haiñ, pata detī hai sīrat kā
ibārat dekh kar jis tarah, ma.anī jaan lete haiñ
tujhe ghāTā na hone deñge, kārobār-e-ulfat meñ
ham apne sar, tirā ai dost har ehsān lete haiñ
hamārī har nazar, tujh se na.ī saugandh khātī hai
to terī har nazar se ham, nayā paimān lete haiñ
rafīq-e-zindagī thī, ab anīs-e-vaqt-e-āḳhir hai
tirā ai maut, ham ye dūsrā ehsān lete haiñ
zamāna vārdāt-e-qalb sunñe ko, tarastā hai
isī se to sar āñkhoñ par, mirā dīvān lete haiñ
'firāq' aksar, badal kar bhes miltā hai koī kāfir
kabhī ham jaan lete haiñ, kabhī pahchān lete haiñ
=======
sar meñ saudā bhī nahīñ, dil meñ tamannā bhī nahīñ
lekin is tark-e-mahabbat kā, bharosā bhī nahīñ
dil kī gintī na yagānoñ meñ, na begānoñ meñ
lekin us jalva-gah-e-nāz se, uThtā bhī nahīñ
mehrbānī ko, mahabbat nahīñ kahte ai dost
aah, ab mujh se tirī ranjish-e-bejā bhī nahīñ
ek muddat se, tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe, aisā bhī nahīñ
aaj ġhaflat bhī, un āñkhoñ meñ hai pahle se sivā
aaj hī ḳhātir-e-bīmār, shakebā bhī nahīñ
baat ye hai ki, sukūn-e-dil-e-vahshī kā maqām
kunj-e-zindāñ bhī nahīñ, vus.at-e-sahrā bhī nahīñ
are sayyād, hamīñ gul haiñ hamīñ bulbul haiñ
tū ne kuchh aah, sunā bhī nahīñ, dekhā bhī nahīñ
aah ye majma-e-ahbāb, ye bazm-e-ḳhāmosh
aaj mahfil meñ, 'firāq'-e-suḳhan-ārā bhī nahīñ
ye bhī sach hai ki, mahabbat pe nahīñ maiñ majbūr
ye bhī sach hai ki, tirā husn kuchh aisā bhī nahīñ
yuuñ to hañgāme uThāte nahīñ, dīvāna-e-ishq
magar ai dost, kuchh aisoñ kā Thikānā bhī nahīñ
muñh se ham apne, burā to nahīñ kahte ki 'firāq'
hai tirā dost magar, aadmī achchhā bhī nahīñ