Main Shayar Toh Nahin

Dushyant Kumar

Abdul Raoof Siddiqui Season 1 Episode 72

Dushyant Kumar was a very popular poet who started a new trend of hindi-ghazal. His poetry resonated with the conscience of readers and it has an undertone of fighting against injustice.


 Dushyant Kumar Tyagi
 Born: 01 Sept 1933 | Bijnor, Uttar Pradesh, India
 Died: 30 Dec 1975 | Bhopal, Madhya Pradesh, India

  Abdul Raoof Siddiqui
  email: raoof3@yahoo.com
  Instagram @urdu.ghazal
  Visit our website: www.mstn.in


 #urdupoetry #dushyantkumar

Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in

kahāñ to tai thā charāġhāñ har ek ghar ke liye 

kahāñ charāġh mayassar nahīñ shahar ke liye 


yahāñ daraḳhtoñ ke saa.e meñ dhuup lagtī hai 

chaleñ yahāñ se chaleñ aur umr bhar ke liye 


na ho qamīz to paañv se peT Dhak leñge 

ye log kitne munāsib haiñ is safar ke liye 


ḳhudā nahīñ na sahī aadmī kā ḳhvāb sahī 

koī hasīn nazārā to hai nazar ke liye 


vo mutma.in haiñ ki patthar pighal nahīñ saktā 

maiñ be-qarār huuñ āvāz meñ asar ke liye 


tirā nizām hai sil de zabān-e-shā.er ko 

ye ehtiyāt zarūrī hai is bahar ke liye 


ji.eñ to apne baġhaicha meñ gul-muhar ke tale 

mareñ to ġhair kī galiyoñ meñ gul-muhar ke liye 


==================


maiñ jise oḌhtā bichhātā huuñ 

vo ġhazal aap ko sunātā huuñ 


ek jañgal hai terī āñkhoñ meñ 

maiñ jahāñ raah bhuul jaatā huuñ 


tū kisī rail sī guzartī hai 

maiñ kisī pul sā thartharātā huuñ 


har taraf e'tirāz hotā hai 

maiñ agar raushnī meñ aatā huuñ 


ek baazū ukhaḌ gayā jab se 

aur ziyāda vazan uThātā huuñ 


maiñ tujhe bhūlne kī koshish meñ 

aaj kitne qarīb paatā huuñ 


kaun ye fāsla nibhā.egā 

maiñ farishta huuñ sach batātā huuñ 

===============



ye raushnī hai haqīqat meñ, ek chhal logo 

ki jaise jal meñ jhalaktā huā mahal logo 


daraḳht haiñ, to parinde nazar nahīñ aate 

vo mustahiq haiñ vahī haq se, be-daḳhal logo 


vo ghar meñ mez pe kuhnī Tikā.e baiThay haiñ 

thamī huī hai vahīñ umr āj-kal logo 


kisī bhī qaum kī tārīḳh ke ujāle meñ 

tumhāre din haiñ, kisī raat kī naqal logo 


tamām raat rahā mahv-e-ḳhvāb dīvāna 

kisī kī niiñd meñ, gaḌtā rahā ḳhalal logo 


zarūr vo bhī, isī rāste se guzre haiñ 

har aadmī mujhe lagtā hai, ham-shakal logo 


dikhe jo, paaoñ ke taaza nishān sahrā meñ 

to yaad aa.e haiñ tālāb ke, kañval logo 


vay kah rahe haiñ ġhazal-go nahīñ rahe shā.er 

maiñ sun rahā huuñ har ik samt se, ġhazal logo 


==========


mat kaho, ākāsh meñ kohrā ghanā hai 

ye kisī kī vyakti-gat ālochnā hai 


sūry ham ne bhī nahīñ dekhā subh se 

kyā karoge sūry kā, kyā dekhnā hai 


is saḌak par, is qadar kīchaḌ bichhī hai 

har kisī kā paañv, ghuTnoñ tak sana hai 


paksh-o-pratī-paksh, sansad meñ mukhar haiñ 

baat itnī hai ki, koī pul banā hai 


rakt varshoñ se, nasoñ meñ khaultā hai 

aap kahte haiñ, kshanik uttejanā hai 


ho ga.ī har ghaaT par, puurī vyavasthā 

shauq se Duube, jise bhī Dūbnā hai 


===================



nazar-navāz nazāra, badal na jaa.e kahīñ 

zarā sī baat hai, muñh se nikal na jaa.e kahīñ

 

vo dekhte haiñ, to lagtā hai niiv hiltī hai 

mire bayān ko, bandish nigal na jaa.e kahīñ 


yuuñ mujh ko, ḳhud pe bahut e'tibār hai lekin 

ye barf aañch ke aage, pighal na jaa.e kahīñ 


chale havā to, kivāḌoñ ko band kar lenā 

ye garm raakh, sharāroñ meñ Dhal na jaa.e kahīñ 


tamām raat, tire mai-kade meñ mai pī hai 

tamām umr, nashe meñ nikal na jaa.e kahīñ 


kabhī, machān pe chaḌhne kī aarzū ubhrī 

kabhī ye Dar kay, ye sīḌhī phisal na jaa.e kahīñ 


ye log homo-havan meñ yaqīn rakhte haiñ 

chalo yahāñ se chaleñ, haath jal na jaa.e kahīñ 


===========















ye saarā jism jhuk kar, bojh se dohrā huā hogā 

maiñ sajde meñ nahīñ thā, aap ko dhokā huā hogā 


yahāñ tak aate aate, suukh jaatī hai ka.ī nadiyāñ 

mujhe ma.alūm hai, paanī kahāñ Thahrā huā hogā 


ġhazab ye hai kī, apnī maut kī aahaT nahīñ sunte 

vo sab ke sab pareshāñ haiñ, vahāñ par kyā huā hogā 


tumhāre shahr meñ, ye shor sun sun kar to lagtā hai 

ki insānoñ ke jañgal meñ, koī hāñkā huā hogā 


ka.ī faaqe bitā kar mar gayā jo, us ke baare meñ 

vo sab kahte haiñ, ab aisā nahīñ, aisā huā hogā 


yahāñ to sirf, gūñge aur bahre log baste haiñ 

ḳhudā jaane yahāñ par, kis tarah jalsa huā hogā 


chalo ab yādgāroñ kī, añdherī koTharī kholeñ 

kam-az-kam ek vo chehrā to, pahchānā huā hogā

















ye zabāñ ham se, sī nahīñ jaatī 

zindagī hai ki, jī nahīñ jaatī 


in fasīloñ meñ, vo darāḌeñ haiñ 

jin meñ bas kar, namī nahīñ jaatī 


dekhiye us taraf ujālā hai 

jis taraf raushnī, nahīñ jaatī 


shaam kuchh peḌ, gir ga.e varna 

baam tak chāñdnī, nahīñ jaatī 


ek aadat sī, ban ga.ī hai tū 

aur aadat kabhī, nahīñ jaatī 


mai-kasho, mai zarūrī hai lekin 

itnī kaḌvī, ki pī nahīñ jaatī 


mujh ko Esā banā diyā tum ne 

ab shikāyat bhī, kī nahīñ jaatī 


==============
















============




chāñdnī chhat pe, chal rahī hogī 

ab akelī Tahal rahī hogī 


phir mirā zikr aa gayā hogā 

barf sī vo pighal rahī hogī 


kal kā sapnā bahut suhānā thā 

ye udāsī na kal rahī hogī 


sochtā huuñ ki band kamre meñ 

ek sham.a sī jal rahī hogī 


shahr kī bhīḌ-bhāḌ se bach kar 

tū galī se nikal rahī hogī 


aaj buniyād thartharātī hai 

vo duā phūl-phal rahī hogī 


tere gahnoñ sī khankhanātī thī 

bājre kī fasal rahī hogī 


jin havāoñ ne tujh ko dulrāyā 

un meñ merī ġhazal rahī hogī 

============







is rāste ke naam likho, ek shaam aur 

yā is meñ raushnī kā karo, intizām aur 


āñdhī meñ sirf, ham hī ukhaḌ kar nahīñ gire 

ham se juḌā huā thā koī, ek naam aur 


marghaT meñ bhiiḌ hai, yā mazāroñ pe bhiiḌ hai 

ab gul khilā rahā hai, tumhārā nizām aur 


ghuTnoñ pe rakh ke haath, khaḌe the namāz meñ 

aa jā rahe the log zehan meñ, tamām aur 


ham ne bhī pahlī baar chakhī, to burī lagī 

kaḌvī tumheñ lagegī, magar ek jaam aur 


hairāñ the apne aks pe, ghar ke tamām log 

shīsha chaTaḳh gayā to, huā ek kaam aur 


un kā kahīñ jahāñ meñ, Thikānā nahīñ rahā 

ham ko to mil gayā hai, adab meñ maqām aur 

















is nadī kī dhaar meñ, ThanDī havā aatī to hai 

naav jarjar hī sahī, lahroñ se Takrātī to hai 


ek chingārī kahīñ se DhūñDh laao dosto 

is diye meñ tel se bhīgī huī baatī to hai 


ek khanDar ke hridai sī, ek jañglī phuul sī 

aadmī kī piir gūñgī hī sahī, gaatī to hai 


ek chādar sāñjh ne, saare nagar par Daal dī 

ye añdhere kī saḌak, us bhor tak jaatī to hai 


nirvachan maidān meñ, teTī huī hai jo nadī 

pattharoñ se oT meñ, jo jā ke batiyāti to hai 


dukh nahīñ koī, ki ab uplabdhiyoñ ke naam par 

aur kuchh ho yā na ho, ākāsh sī chhātī to hai 

People on this episode