Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Azm Bahzad
Azm Behzaad is a prominent Urdu poet. He was the grandson of one of the great poets of Urdu Bahzad Lakhnawi. He was highly appreciated for his diction and metaphors. He was adored for his ‘tarannum’.
He worked as an Urdu copywriter in an advertising. He also wrote scripts for radio and T.V programmes.His first book of poetry ‘Taabeer Se Pehley’ was published in 1997.
Real Name:
Mukhtar Ahmad
Born: 31 Dec 1958 | Karachi, Sindh, Pakistan
Died: 04 Mar 2011 | Karachi, Sindh, Pakistan
Relatives:
Behzad Lakhnavi (Grand Father)
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #azmbahzad
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
maiñ umar ke raste meñ chup-chāp bikhar jaatā
ik din bhī agar apnī tanhā.ī se Dar jaatā
maiñ tark-e-ta.alluq par zinda huuñ so mujrim huuñ
kaash us ke liye jiitā apne liye mar jaatā
us raat koī ḳhushbū qurbat meñ nahīñ jaagī
maiñ varna sañvar jaatā aur vo bhī nikhar jaatā
us jān-e-takallum ko tum mujh se to milvāte
tasḳhīr na kar paatā hairān to kar jaatā
kal sāmne manzil thī pīchhe mirī āvāzeñ
chaltā to bichhaḌ jaatā ruktā to safar jaatā
maiñ shahr kī raunaq meñ gum ho ke bahut ḳhush thā
ik shaam bachā letā ik roz to ghar jaatā
mahrūm fazāoñ meñ māyūs nazāroñ meñ
tum 'azm' nahīñ Thahre maiñ kaise Thahar jaatā
==================
maiñ ne kal ḳhvāb meñ ā.inda ko chalte dekhā
rizq aur ishq ko ik ghar se nikalte dekhā
raushnī DhūñD ke laanā koī mushkil to na thā
lekin is dauḌ meñ har shaḳhs ko jalte dekhā
ek ḳhush-fahm ko rote hue dekhā maiñ ne
ek be-rahm ko andar se pighalte dekhā
roz palkoñ pe ga.ī raat ko raushan rakkhā
roz āñkhoñ meñ ga.e din ko machalte dekhā
sub.h ko tañg kiyā ḳhud pe zarūrat kā hisār
shaam ko phir isī mushkil se nikalte dekhā
ek hī samt meñ kab tak koī chal saktā hai
haañ kisī ne mujhe rasta na badalte dekhā
'azm' is shahr meñ ab aisī koī aañkh nahīñ
girne vaale ko yahāñ jis ne sambhalte dekhā
===================
Is ghazal ka teesray sher, unkay 11 saal ke bete Masood ke guzar jaane par likha tha, ek baa gham nazar aata hai is sher mein.
kitne mausam sargardāñ the mujh se haath milāne meñ
maiñ ne shāyad der lagā dī ḳhud se bāhar aane meñ
ek nigāh kā sannāTā hai ik āvāz kā banjar-pan
maiñ kitnā tanhā baiThā huuñ qurbat ke vīrāne meñ
aaj us phuul kī ḳhushbū mujh meñ paiham shor machātī hai
jis ne be-had ujlat bartī khilne aur murjhāne meñ
ek malāl kī gard sameTe maiñ ne ḳhud ko paar kiyā
kaise kaise vasl guzāre hijr kā zaḳhm chhupāne meñ
jitne dukh the jitnī umīdeñ sab se barābar kaam liyā
maiñ ne apne ā.inda kī ik tasvīr banāne meñ
ek vazāhat ke lamhe meñ mujh par ye ahvāl khulā
kitnī mushkil pesh aatī hai apnā haal batāne meñ
pahle dil ko aas dilā kar be-parvā ho jaatā thā
ab to 'azm' bikhar jaatā huuñ maiñ ḳhud ko bahlāne meñ
===================
jo baat shart-e-visāl Thahrī vahī hai ab vaj.h-e-bad-gumānī
idhar hai is baat par ḳhamoshī udhar hai pahlī se be-zabānī
kisī sitāre se kyā shikāyat ki raat sab kuchh bujhā huā thā
fasurdagī likh rahī thī dil par shikastagī kī na.ī kahānī
ajiib āshob-e-vaz.a-dārī hamāre a.asāb par hai taarī
laboñ pe tartīb-e-ḳhush-kalāmī diloñ meñ tanzīm-e-nauha-ḳhvānī
hamāre lahje meñ ye tavāzun baḌī sa.ūbat ke ba.ad aayā
ka.ī mizājoñ ke dasht dekhe ka.ī ravayyoñ kī ḳhaak chhānī
===========
be-had ġham haiñ jin meñ avval umr guzar jaane kā ġham
har ḳhvāhish kā dhīre dhīre dil se utar jaane kā ġham
har tafsīl meñ jaane vaalā zehn savāl kī zad par hai
har tashrīh ke pīchhe hai anjām se Dar jaane kā ġham
jaane kab kis par khul jaa.e shahr-e-fanā kā darvāza
jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane kā ġham
ye jo bhiiḌ hai be-hāloñ kī dauḌ hai chand nivāloñ kī
nān-o-namak kā bojh liye jaldī se ghar jaane kā ġham
dariyā paar utarne vaale ye bhī jaan nahīñ paa.e
kise kināre par le Duubā paar utar jaane kā ġham
'azm' udāsī kā ye sahrā yuuñ qadmoñ se lipTā hai
jalne vāloñ ko mil jaa.e jaise Thahar jaane kā ġham
=====
us aañkh se vahshat kī tāsīr uThā laayā
maiñ jāgte rahne kī tadbīr uThā laayā
maiñ nīyat-e-shab-ḳhūñ se ḳheme meñ gayā lekin
dushman ke sirhāne se shamshīr uThā laayā
vo sub.h-e-rihā.ī thī yā shām-e-asīrī thī
jab maiñ dar-e-zindāñ se zanjīr uThā laayā
āvāra-mizājī par harf aane se pahle hī
dil tere taġhāful kī tasvīr uThā laayā
ai ḳhvāb-e-pazīrā.ī tū kyuuñ mirī āñkhoñ meñ
andesha-e-duniyā kī ta.abīr uThā laayā
vo sañg-e-malāmat thā jis ko tirā dil kah kar
us kūche se mujh jaisā rah-gīr uThā laayā
us shaḳhs se maiñ sab ko ujlat meñ milā baiThā
aur apne liye kaisī tāḳhīr uThā laayā
maidān-e-shikāyat se kyā apne sivā laatā
ik rañj thā maiñ jis kī ta.amīr uThā laayā
us bazm-e-suḳhan meñ ham kyā pahuñche ki shor uTThā
lo 'azm' koī zaḳhmī tahrīr uThā laayā