Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Moin Ahsan Jazbi
Moin Ahsan Jazbi was one of the important Urdu poets of the Progressive Writers Movement. He was born on 21st Aug 1912 in Mubarakpur, Uttar Pradesh and died on 13th Feb 2005 in Aligarh, Uttar Pradesh, India. Jazbi stayed true to the classical literary tradition and embellished it with contemporary style. He completed M.A. in Urdu and joined the Urdu department of Aligarh Muslim University as Urdu faculty member. His thesis entitled “Hali ka Siyaasi Shuoor” earned him his degree of Ph. D.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #moinahsanjazbi
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
Nazm
apnī soī huī duniyā ko jagā luuñ to chalūñ
apne ġham-ḳhāne meñ ik dhuum machā luuñ to chalūñ
aur ik jām-e-mai-e-talḳh chaḌhā luuñ to chalūñ
abhī chaltā huuñ zarā ḳhud ko sambhālūñ to chalūñ
jaane kab pī thī abhī tak hai mai-e-ġham kā ḳhumār
dhundlā dhundlā nazar aatā hai jahān-e-bedār
āñdhiyāñ chaltī haiñ duniyā huī jaatī hai ġhubār
aañkh to mal luuñ zarā hosh meñ aa luuñ to chalūñ
vo mirā sehr vo ejaaz kahāñ hai laanā
merī khoī huī āvāz kahāñ hai laanā
mirā TuuTā huā vo saaz kahāñ hai laanā
ik zarā giit bhī is saaz pe gā luuñ to chalūñ
maiñ thakā haarā thā itne meñ jo aa.e bādal
kisī matvāle ne chupke se baḌhā dī botal
uf vo rañgīn pur-asrār ḳhayāloñ ke mahal
aise do chaar mahal aur banā luuñ to chalūñ
mujh se kuchh kahne ko aa.ī hai mire dil kī jalan
kyā kiyā maiñ ne zamāne meñ nahīñ jis kā chalan
āñsūo tum ne to bekār bhigoyā dāman
apne bhīge hue dāman ko sukhā luuñ to chalūñ
merī āñkhoñ meñ abhī tak hai mohabbat kā ġhurūr
mere hoñToñ ko abhī tak hai sadāqat kā ġhurūr
mere māthe pe abhī tak hai sharāfat kā ġhurūr
aise vahmoñ se zarā ḳhud ko nikālūñ to chalūñ
=============
Ghazal
marne kī duā.eñ kyuuñ māñgūñ, jiine kī tamannā kaun kare
ye duniyā ho yā vo duniyā, ab ḳhvāhish-e-duniyā kaun kare
jab kashtī sābit-o-sālim thī, sāhil kī tamannā kis ko thī
ab aisī shikasta kashtī par, sāhil kī tamannā kaun kare
jo aag lagā.ī thī tum ne, us ko to bujhāyā ashkoñ ne
jo ashkoñ ne bhaḌkā.ī hai, us aag ko ThanDā kaun kare
duniyā ne hameñ chhoḌā ‘jazbī', ham chhoḌ na deñ kyuuñ duniyā ko
duniyā ko samajh kar baiThe haiñ, ab duniyā duniyā kaun kare
========
jab kabhī kisī gul par ik zarā nikhār aayā
kam-nigāh ye samjhe mausam-e-bahār aayā
us ufuq ko kyā kahiye nuur bhī dhuñdlakā bhī
bār-hā kiran phūTī bār-hā ġhubār aayā
ham ne ġham ke māroñ kī mahfileñ bhī dekhīñ haiñ
ek ġham-gusār uThā ek ġham-gusār aayā
ārzū-e-sāhil se ham kinārā kyā karte
jis taraf qadam uThe bahar-e-be-kanār aayā
yuuñ to saikḌoñ ġham the par ġham-e-jahāñ 'jazbī'
ba.ad ek muddat ke dil ko sāzgār aayā
=====
dāġh-e-ġham dil se kisī tarah miTāyā na gayā
maiñ ne chāhā bhī magar tum ko bhulāyā na gayā
umr bhar yuuñ to zamāne ke masā.ib jhele
terī nazroñ kā magar baar uThāyā na gayā
rūThne vāloñ se itnā koī jā kar pūchhe
ḳhud hī rūThe rahe yā ham se manāyā na gayā
us ne is tarah mohabbat kī nigāheñ Dālīñ
ham se duniyā kā koī raaz chhupāyā na gayā
thī haqīqat meñ vahī manzil-e-maqsad 'jazbī'
jis jagah tujh se qadam aage baḌhāyā na gayā
=================
mile mujh ko ġham se fursat to sunā.ūñ vo fasāna
ki Tapak paḌe nazar se mai-e-ishrat-e-shabāna
yahī zindagī musībat yahī zindagī musarrat
yahī zindagī haqīqat yahī zindagī fasāna
kabhī dard kī tamannā kabhī koshish-e-mudāvā
kabhī bijliyoñ kī ḳhvāhish kabhī fikr-e-āshiyāna
mire qahqahoñ kī zad par kabhī gardisheñ jahāñ kī
mire āñsuoñ kī rau meñ kabhī talḳhī-e-zamāna
kabhī maiñ huuñ tujh se nālāñ kabhī mujh se tū pareshāñ
kabhī maiñ tirā hadaf huuñ kabhī tū mirā nishāna
jise pā sakā na zāhid jise chhū sakā na suufī
vahī taar chheḌtā hai mirā soz-e-shā.irāna
=========
aish se kyuuñ ḳhush hue kyuuñ ġham se ghabrāyā kiye
zindagī kyā jaane kyā thī aur kyā samjhā kiye
nāla-e-be-tāb lab tak aate aate rah gayā
jaane kyā sharmīlī nazroñ se vo farmāyā kiye
ishq kī ma.asūmiyoñ kā ye bhī ik andāz thā
ham nigāh-e-lutf-e-jānāñ se bhī sharmāyā kiye
vo havā.eñ vo ghaTā.eñ vo fazā vo us kī yaad
ham bhī mizrāb-e-alam se sāz-e-dil chheḌā kiye
muḳhtasar ye hai hamārī dāstān-e-zindagī
ik sukūn-e-dil kī ḳhātir umr bhar taḌpā kiye
kaaT dī yuuñ ham ne 'jazbī' rāh-e-manzil kaaT dī
gir paḌe har gaam par har gaam par sambhlā kiye