Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Shaz Tamkanat
Shaz Tamkanat was a prominent Urdu poet from Hyderabad, India. He was born on January 31, 1933 in Hyderabad. Shaz Tamkanat was one of the real representatives of the literary traditions of Hyderabad. After completing his school education, he did his graduation and masters in Urdu language and literature from Osmania University and later in 1983, he was awarded doctorate for his thesis on the life and works of a prominent progressive poet Makhdoom Mohiuddin. He worked as a teacher and after serving in quite a few colleges joined the Department of Urdu, Osmania University as a Reader. His major works include Tarasheeda ( Poetry), Bayaz-e-Shaam (Poetry), Neem Khwab (Poetry), Makhdoom Mohiuddin, Hayat Aur Kaarnaamey (Ph. D. thesis published posthumously). He had won several awards including Imtiyaz-e-Mir and Andhra Pradesh Sahitya Academy Award. He passed away on August 18, 1985 in Hyderabad.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #shaztamkanat
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
kuchh ajab aan se logoñ meñ rahā karte the
ham ḳhafā ho ke bhī aapas meñ milā karte the
itnī tahzīb-e-rah-o-rasm to baaqī thī ki vo
laakh ranjish sahī va.ada to vafā karte the
us ne pūchhā thā ka.ī baar magar kyā kahte
ham mizājan hī, pareshān rahā karte the
ḳhatm thā ham pe mohabbat kā tamāshā goyā
ruuh aur jism ko, har roz judā karte the
ek chup-chāp lagan sī thī tire baare meñ
log aa aa ke sunāte the, sunā karte the
terī sūrat se ḳhudā se bhī shanāsā.ī thī
kaise kaise, tire milne kī duā karte the
us ko ham-rāh liye aate the merī ḳhātir
mere ġham-ḳhvār mire haq meñ burā karte the
zindagī ham se tire naaz uThā.e na ga.e
saañs lene kī faqat, rasm adā karte the
ham baras paḌte the 'shāz' apnī hī tanhā.ī par
abr kī tarah, kisī dar se uThā karte the
=============
mirā zamīr bahut hai mujhe sazā ke liye
tū dost hai to nasīhat na kar ḳhudā ke liye
vo kashtiyāñ mirī patvār jin ke TuuT ga.e
vo bādbāñ jo taraste rahe havā ke liye
bas ek huuk sī dil se uThe ghaTā kī tarah
ki harf o saut zarūrī nahīñ duā ke liye
jahāñ meñ rah ke jahāñ se barābarī kī ye choT
ik imtihān-e-musalsal mirī anā ke liye
namīda-ḳhū hai ye miTTī har ek mausam meñ
zamīn-e-dil hai tarastī nahīñ ghaTā ke liye
maiñ terā dost huuñ tū mujh se is tarah to na mil
barat ye rasm kisī sūrat-āshnā ke liye
milūñgā ḳhaak meñ ik roz biij ke mānind
fanā pukār rahī hai mujhe baqā ke liye
mah o sitāra o ḳhurshīd o charḳh haf-iqlīm
ye ehtimām mire dast-e-nā-rasā ke liye
jafā jafā hī agar hai to rañj kyā ho 'shāz'
vafā kī pusht-panāhī bhī ho jafā ke liye
=======
baḌe ḳhulūs se dāman pasārtā hai koī
ḳhudā ko jaise zamīñ par utārtā hai koī
na pūchh kyā tire milne kī aas hotī hai
kahāñ guzartī hai kaise guzārtā hai koī
bajā hai shart-e-vafā shart-e-zindagī bhī to ho
bachā sake to bachā le, kay hārtā hai koī
vo kaun shaḳhs hai kyā, naam hai, ḳhudā jaane
añdherī raat hai, kis ko pukārtā hai koī
tamām ishq kī jāgīr ho ga.ī duniyā
tirī nigāh pe duniyā ko vārtā hai koī
charāġh rakh ke sar-e-shām dil ke ziine par
mujhe ḳhabar nahīñ hotī sudhārtā hai koī
ye sar kā bojh nahīñ, dil kā bojh hai ai 'shāz'
kahāñ utartā hai lekin, utārtā hai koī
===
zarā sī baat thī baat aa ga.ī judā.ī tak
hañsī ne chhoḌ diyā lā ke jag-hañsā.ī tak
bhale se ab koī terī bhalā.ī ginvā.e
ki maiñ ne chāhā thā tujh ko tirī burā.ī tak
tū chupke chupke muravvat se kyuuñ bichhaḌtā hai
mirā ġhurūr bhī thā terī kaj-adā.ī tak
mujhe to apnī nadāmat kī daad bhī na milī
maiñ us ke saath rahā apnī nā-rasā.ī tak
is ā.īne kā to ab reza reza chubhtā hai
ye ā.īna jise taktī rahī ḳhudā.ī tak
ye hādsa hai mire zabt-e-hāl ke hāthoñ
safed ho ga.ī kāġhaz pe raushnā.ī tak
pukārtī rahīñ āñkheñ chalā gayā hai koī
vo ik sukūt thā āvāz se duhā.ī tak
nikal ke dekhā qafas se to aañkh bhar aa.ī
vo fasl-e-gul ki khaḌī thī mirī rihā.ī tak
ġhazab hai TuuT ke chāhā thā 'shāz' ne jis ko
sunā ye rasm bhī thī sūrat-āshnā.ī tak
=======
koī to aa ke rulā de ki hañs rahā huuñ maiñ
bahut dinoñ se ḳhushī ko taras rahā huuñ maiñ
sahar kī os meñ bhīgā huā badan terā
vo aañch hai ki chaman meñ jhulas rahā huuñ maiñ
qadam qadam pe bikhartā chalā huuñ sahrā meñ
sadā kī tarah makīn-e-jaras rahā huuñ maiñ
koī ye kah de mirī aarzū ke motī se
sadaf sadaf kī qasam hai baras rahā huuñ maiñ
hayāt-e-ishq mujhe aaj ajnabī na samajh
ki saaya saaya tire pesh-o-pas rahā huuñ maiñ
nafas kī āmad-o-shud bhī hai sānehe kī tarah
gavāh rah ki tirā ham-nafas rahā huuñ maiñ
jahāñ bhī nuur milā khil uThā shafaq kī tarah
jahāñ bhī aag milī ḳhār-o-ḳhas rahā huuñ maiñ
=============
shukr-e-karam bhī shikva-e-ġham bhī saare unvāñ aap hue
mujh pe tavajjoh aap ne kī thī mujh se gurezāñ aap hue
dast-e-talab kab maiñ ne baḌhāyā kuchh na milā to shikva kyā
kyuuñ mere dāmān-e-tahī par itne pashemāñ aap hue
ḳhāk-e-dasht-e-vafā thī ruḳh par varna koī baat na thī
aa.ina apnā dhuñdlā pā kar kitne hairāñ aap hue
uf ye tavāzo.a haa.e ye ḳhātir koī bhalā kis dil se kare
umr tamām jahāñ rahnā thā is ghar mehmāñ aap hue
aap ke dam se 'shāz' kā fan hai husn-e-bayāñ hai rañg-e-suḳhan hai
naam hamārā chal niklā hai sāhab-e-dīvāñ aap hue
======
mire nasīb ne jab mujh se intiqām liyā
kahāñ kahāñ tirī yādoñ ne haath thaam liyā
fazā kī aañkh bhar aa.ī havā kā rañg uḌā
sukūt-e-shām ne chupke se terā naam liyā
vo maiñ nahīñ thā ki ik harf bhī na kah paayā
vo bebasī thī ki jis ne tirā salām liyā
har ik ḳhushī ne tire ġham kī aabrū rakh lī
har ik ḳhushī se tire ġham ne intiqām liyā
vo ma.arka thā ki fat.h-o-shikast bhī na milī
na jaane 'shāz' ne kis maslahat se kaam liyā
============
shab-o-roz jaise Thahar ga.e koī naaz hai na niyāz hai
tire hijr meñ ye patā chalā mirī umr kitnī darāz hai
ye jahāñ hai mahbas-e-be-amāñ koī saañs le to bhalā kahāñ
tirā husn aa gayā darmiyāñ yahī zindagī kā javāz hai
ho badan ke loch kā kyā bayāñ kisī nai kī mauj hai par-fishāñ
koī lai hai zer-e-qabā nihāñ koī shai ba-sūrat-e-rāz hai
tire ġham se dil phir amiir ho koī chāñd nikle safīr ho
shab-e-dasht ho hai ye zindagī na nasheb hai na farāz hai
chale taa.ir uḌ ke pas-e-shafaq hai udaas udaas ruḳh-e-ufuq
ki bayāz-e-shām kā har varaq tirī dāstān-e-darāz hai
agar ehtiyāt-e-ḳhitāb ho lab-e-sañg khil ke gulāb ho
tū kisī sanam ko sadā to de dar-e-but-kada abhī baaz hai
vahī ruup sāġhar-e-jam meñ bhī vahī aks dīda-e-nam meñ bhī
mire vāste tū haram meñ bhī vahī 'shāz' rū-e-majāz hai
=====
maanā ki mere zarf se baḌh kar mujhe na do
shabnam hī māñgtā huuñ samundar mujhe na do
jis ko havā ke ruḳh pe na kholā gayā kabhī
ik aise bādbāñ kā muqaddar mujhe na do
dīvār jis kī sarhad sahrā se jā mile
aisī sazā-e-ḳhāna-e-be-dar mujhe na do
lau de rahī hai soch ke vaqfa kī ḳhāmushī
har baat kā javāb sambhal kar mujhe na do
kuchh de sako agar to koī ḳhvāb sauñp do
saaya talāsh kartā huuñ paikar mujhe na do
maiñ aap apne jurm-o-sazā kā harīf huuñ
ilzām-e-shauq sab ke barābar mujhe na do
gar sun sako to 'shāz' kī ḳhāmoshiyāñ suno
taklīf-e-arz-e-hāl mukarrar mujhe na do
=======
kyā qayāmat hai ki ik shaḳhs kā ho bhī na sakūñ
zindagī kaun sī daulat hai ki kho bhī na sakūñ
ghar se niklūñ to bhare shahr ke hañgāme haiñ
maiñ vo majbūr tirī yaad meñ ro bhī na sakūñ
din ke pahlū se lagā rahtā hai andesha-e-shām
sub.h ke ḳhauf se niiñd aa.e to so bhī na sakūñ
ḳhatm hotā hī nahīñ silsila-e-mauj-e-sarāb
paar utar bhī na sakūñ naav Dubo bhī na sakūñ
'shāz' ma.alūm huā ijz-bayānī kyā hai
dil meñ vo aag hai lafzoñ meñ samo bhī na sakūñ
Main ek Harf e Tamanna hoon
Badi Der se chup hoon
Kab tak mere Maula
Aye dil ke Makeen dekh ye dil toot na jaaye
Kasa mere hath se kahin choot na jaaye
Main Aas ka banda hoon badi der se chup hoon
Kab tak mere Maula
Sar ta ba qadam muradon ko tarse
Jaate huye tak te hain mujhe qafile wale
Main lala e sahra hoon badi der se chup hoon
Kab tak mere Maula
Ye ashk kahan jainge daman mujhe dede
Aye baad e bahari mera gulshan mujhe dede
Main shaaq se toota hoon badi der se chup hoon
Kab tak mere Maula
Aye dast e talab kyun teri bari nahin ayi
Kehna mere Aaqa ki sawari nahin ayi
Tasveer e tamasha hoon badi der se chup hoon
Kab tak mere Maula
Mumkin nahin ye Ankh tere deedar ko tarse
Har rang main dekhoon tujhe deewar se dar se
Main to tera rasta hoon badi der se chup hoon
Kab tak mere Maula
Aye kashif e Asrar e nihani tere sadqe
Ab SHAZ ko de hukm e rawani tere sadqe
Tahra hua darya hoon badi der se chup hoon
Kab tak mere Maula