.jpg)
Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Naseer Turabi
Naseer Turabi
1945 - 2021
A famous Urdu poet & lyricist from Pakistan. He completed his M.A. in Mass Communications from Karachi University, Pakistan. His poetry book “Aks-e-Faryadi” was published in 2000.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
#urdupoetry #naseerturabi
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
vo ham-safar thā, magar us se ham-navā.ī na thī
ki dhuup chhāñv kā aalam rahā, judā.ī na thī
na apnā rañj, na auroñ kā dukh, na terā malāl
shab-e-firāq, kabhī ham ne yuuñ, gañvā.ī na thī
mohabbatoñ kā safar, is tarah bhī guzrā thā
shikasta-dil the musāfir, shikasta-pā.ī na thī
adāvateñ thīñ, taġhāful thaa, ranjisheñ thiiñ bahut
bichhaḌne vaale meñ sab kuchh thaa, bevafā.ī na thī
bichhaḌte vaqt, un āñkhoñ meñ thī, hamārī ġhazal
ġhazal bhī vo, jo kisī ko abhī, sunā.ī na thī
kise pukār rahā thā, vo Dūbtā huā din
sadā to aa.ī thī, lekin, koī duhā.ī na thī
kabhī ye haal ki, donoñ meñ, yak-dilī thī bahut
kabhī ye marhala, jaise, ki āshnā.ī na thī
ajiib hotī hai, rāh-e-suḳhan bhī dekh 'nasīr'
vahāñ bhī aa ga.e āḳhir, jahāñ rasā.ī na thī ========
diyā sā dil ke ḳharābe meñ, jal rahā hai miyāñ
diye ke gird koī aks, chal rahā hai miyāñ
ye ruuh raqs-e-charāġhāñ hai, apne halqe meñ
ye jism saaya hai, aur saaya Dhal rahā miyāñ
ye aañkh parda hai, ik gardish-e-tahayyur kā
ye dil nahīñ hai, bagūla uchhal rahā hai miyāñ
kabhī kisī kā guzarnā, kabhī Thahar jaanā
mire sukūt meñ, kyā kyā ḳhalal rahā hai miyāñ
kisī kī raah meñ aflāk, zer-e-pā hote
yahāñ to paañv se sahrā, nikal rahā hai miyāñ
hujūm-e-shoḳh meñ, ye dil hī be-ġharaz niklā
chalo koī to harīfāna, chal rahā hai miyāñ
tujhe abhī se paḌī hai, ki faisla ho jaa.e
na jaane kab se yahāñ, vaqt Tal rahā hai miyāñ
tabī.atoñ hī, ke milne se thā, maza baaqī
so vo maza bhī kahāñ, āj-kal rahā hai, miyāñ
ġhamoñ kī fasl meñ, jis ġham ko rā.egāñ samjheñ
ḳhushī to ye hai, ki vo ġham bhī, phal rahā hai miyāñ
likhā 'naseer' ne, har rañg meñ, safed-o-siyāh
magar jo harf, lahū meñ machal rahā hai miyāñ
====================================
milne kī tarah mujh se vo, pal bhar nahīñ miltā
dil us se milā, jis se, muqaddar nahīñ miltā
ye rāh-e-tamannā hai, yahāñ dekh ke chalnā
is raah meñ sar milte haiñ, patthar nahīñ miltā
ham-rañgī-e-mausam ke, talabgār na hote
saaya bhī to qāmat ke, barābar nahīñ miltā
kahne ko ġham-e-hijr, baḌā dushman-e-jāñ hai
par dost bhī, is dost se, behtar nahīñ miltā
kuchh roz 'nasīr' aao, chalo ghar meñ rahā jaa.e
logoñ ko ye shikva hai, ki ghar par nahīñ miltā
=============
tujhe kyā ḳhabar, mire be-ḳhabar, mirā silsila koī aur hai
jo mujhī ko mujh se baham kare, vo gurez-pā koī aur hai
mire mausamoñ ke bhī taur the, mire barg-o-bār hī aur the
magar ab ravish hai alag koī, magar ab havā, koī aur hai
yahī shahr, shahr-e-qarār hai to dil-e-shikasta kī ḳhair ho
mirī aas hai kisī aur se, mujhe pūchhtā, koī aur hai
ye vo mājrā-e-firāq hai, jo mohabbatoñ, se na khul sakā
ki mohabbatoñ hī ke darmiyāñ, sabab-e-jafā, koī aur hai
haiñ mohabbatoñ kī amānateñ, yahī hijrateñ, yahī qurbateñ
diye bām-o-dar kisī aur ne, to rahā basā, koī aur hai
ye fazā ke rañg khule khule, isī pesh-o-pas ke haiñ silsile
abhī ḳhush-navā koī aur thā, abhī par-kushā koī aur hai
dil-e-zūd-ranj na kar gila, kisī garm o sard raqīb kā
ruḳh-e-nā-sazā to hai rū-ba-rū, pas-e-nā-sazā koī aur hai
bahut aa.e hamdam o chāra-gar, jo numūd-o-nām ke ho ga.e
jo zavāl-e-ġham, kā bhī ġham kare, vo ḳhush-āshnā koī aur hai
ye ‘naseer' shām-e-supurdagī kī, udaas udaas sī, raushnī
ba-kanār-e-gul zarā dekhnā, ye tumhī ho yā koī aur hai
================
is kaḌī dhuup meñ, saaya kar ke
tū kahāñ hai, mujhe tanhā kar ke
maiñ to arzāñ thā, ḳhudā kī mānind
kaun guzrā, mirā saudā kar ke
tīrgī TuuT paḌī hai mujh par
maiñ pashīmāñ huuñ, ujālā kar ke
le gayā chhīn ke āñkheñ merī
mujh se kyuuñ vāda-e-fardā kar ke
lau irādoñ kī baḌhā dī shab ne
din gayā jab mujhe, paspā kar ke
kaash ye, ā.īna-e-hijr-o-visāl
TuuT jaa.e, mujhe andhā kar ke
har taraf, sach kī duhā.ī hai 'naseer'
sher likhte raho, sachchā kar ke